ज़र्रे झड़ कर तेरी पैज़ारों के
ताजे सर बनते हैं सय्यारों के
हम से चोरों पे जो फ़रमाएं करम
ख़िल्अ़ते ज़र बनें पुश्तारों के
मेरे आक़ा का वोह दर है जिस पर
माथे घिस जाते हैं सरदारों के
मेरे ई़सा तेरे सदक़े जाऊं
त़ौर बे त़ौर हैं बीमारों के
मुजरिमो चश्मे तबस्सुम रख्खो
फूल बन जाते हैं अंगारों के
तेरे अब्रू के तसद्दुक़ प्यारे
बन्द कर्रे हैं गिरिफ़्तारों के
जानो दिल तेरे क़दम पर वारे
क्या नसीबे हैं तेरे यारों के
सिद्क़ो अ़दलो करम व हिम्मत में
चार सू शोहरे हैं इन चारों के
बहरे तस्लीमे अ़ली मैदां में
सर झुके रहते हैं तलवारों के
कैसे आक़ाओं का बन्दा हूं रज़ा
बोलबाले मेरी सरकारों के
Zarre Jhad Kar Teri Paizaron Ke
Taaj sar bante hain sayyaron ke
Hum se choron pe jo farmaaye karam
Khilaate zar bane pushtaaron ke
Mere aaqa ka woh dar hai jis par
Maathay ghis jaate hain sardaaron ke
Mere Eesa tere sadqe jaaun
Taur be taur hain beemaaron ke
Mujrimo chashme tabassum rakkho
Phool ban jaate hain angaaron ke
Tere abroo ke tasadduq pyaare
Band khul jaate hain giriftaaron ke
Jaan-o-dil tere qadam par waare
Kya naseebe hain tere yaaron ke
Sidq-o-adl-o-karam-o-himmat mein
Chaar soo shohre hain in chaaron ke
Bahre tasleem-e-Ali maidan mein
Sar jhuke rehte hain talwaron ke
Kaise aaqaon ka banda hoon Raza
Bol baale meri sarkaaron ke