Zameen Se Arsh e Aazam Tak Nabi Ka Bol Baala Hai / ज़मीं से अर्श ए आज़म तक नबी का बोल बाला

ज़मीं से अर्श ए आज़म तक नबी का बोल बाला है
उन्हीं के फ़ैज़ ए आली से जहाँ भर में उजाला है

अदू शर्मा गया जब पढ़ दिया कंकर ने भी कलमा
मेरे प्यारे नबी का मोजिज़ा ये भी निराला है

ज़मीं से अर्श ए आज़म तक नबी का बोल-बाला है
उन्हीं के फ़ैज़ ए आली से जहाँ भर में उजाला है

चराता है जो बच्चा बकरियाँ दाई हलीमा की
वही बच्चा क़मर को पल में टुकड़े करने वाला है

ज़मीं से अर्श ए आज़म तक नबी का बोल बाला है
उन्हीं के फ़ैज़ ए आली से जहाँ भर में उजाला है

बनाई है उन्हीं के वास्ते दुनिया मेरे रब ने
जिन्हें आग़ोश में दाई हलीमा तू ने पाला है

ज़मीं से अर्श ए आज़म तक नबी का बोल बाला है
उन्हीं के फ़ैज़ ए आली से जहाँ भर में उजाला है

जिन्हें बुग़्ज़ ओ अदावत है सहाबा से तुफ़ैल अख़्तर
उन्हें अपनी जमाअत से शह ए दीं ने निकाला है

ज़मीं से अर्श ए आज़म तक नबी का बोल बाला है
उन्हीं के फ़ैज़ ए आली से जहाँ भर में उजाला है

Zameen Se Arsh e Aazam Tak Nabi Ka Bol Baala Hai
Unhi ke Faiz-e-Aali se jahan bhar mein ujala hai

Adu sharma gaya jab parh diya kankar ne bhi kalma
Mere pyaare Nabi ka mojiza ye bhi nirala hai

Zameen se Arsh-e-Azam tak Nabi ka bol-baala hai
Unhi ke Faiz-e-Aali se jahan bhar mein ujala hai

Charata hai jo bacha bakriyan Daai Halima ki
Wahi bacha qamar ko pal mein tukde karne wala hai

Zameen se Arsh-e-Azam tak Nabi ka bol baala hai
Unhi ke Faiz-e-Aali se jahan bhar mein ujala hai

Banai hai unhi ke waaste duniya mere Rab ne
Jinhein aaghosh mein Daai Halima tu ne pala hai

Zameen se Arsh-e-Azam tak Nabi ka bol baala hai
Unhi ke Faiz-e-Aali se jahan bhar mein ujala hai

Jinhein bughz-o-adawat hai Sahaba se Tufail Akhtar
Unhein apni jama’at se Shah-e-Deen ne nikala hai