Zamane Ki Nigahon Mein Wo Ruswa Ho Nahin Sakta / ज़माने की निग़ाहों में वो रुस्वा हो नहीं सकता

ज़माने की निग़ाहों में वो रुस्वा हो नहीं सकता
नबी कर दें जिसे ऊँचा वो नीचा हो नहीं सकता

कभी उस शख्स के ऐबों का चर्चा हो नहीं सकता
भरम जिस का नबी रखें वो रुस्वा हो नहीं सकता

रसूले-पाक को हमने ख़ुदा का नूर माना है
हमारी क़ब्र में हरगिज़ अँधेरा हो नहीं सकता

बिठाते थे मेरे सरकार जिन को अपने कांधों पर
हुसैन इब्ने अली जैसा नवासा हो नहीं सकता

हर एक ज़र्रा ज़मीने कर्बला का झूम कर बोला
कोई बच्चा अली असग़र के जैसा हो नहीं सकता

ज़मीने हिन्द पर अब भी मेरे ख़्वाजा का क़ब्ज़ा है
यहाँ इनके अलावा कोई राजा हो नहीं सकता

किसी की भी हुकूमत हो कोई भी राज करता हो
मगर ख़्वाजा पिया सा कोई राजा हो नहीं सकता

Zamane Ki Nigahon Mein Wo Ruswa Ho Nahin Sakta
Nabi kar dein jise ooncha, wo neecha ho nahin sakta

Kabhi us shakhs ke aiboon ka charcha ho nahin sakta
Bharam jiska Nabi rakhein, wo ruswa ho nahin sakta

Rasool-e-Pak ko humne Khuda ka noor maana hai
Hamari qabr mein hargiz andhera ho nahin sakta

Bithaate the mere Sarkar jin ko apne kandhon par
Hussain ibn-e-Ali jaisa nawasa ho nahin sakta

Har ek zarra zameen-e-Karbala ka jhoom kar bola
Koi bacha Ali Asghar ke jaisa ho nahin sakta

Zameen-e-Hind par ab bhi mere Khwaja ka qabza hai
Yahan inke alawa koi raja ho nahin sakta

Kisi ki bhi hukoomat ho, koi bhi raaj karta ho
Magar Khwaja piya sa koi raja ho nahin sakta