Ye Duniya Kaisi Duniya Hai Sab Apna Paraya Karte Hain / ये दुनिया कैसी दुनिया है सब अपना पराया करते हैं

ये दुनिया कैसी दुनिया है सब अपना पराया करते हैं
एक रहमत ए आलम ही सब को सीने से लगाया करते हैं

अल्फ़ाज़ नहीं जुमले भी नहीं कैसे मैं करूँ उन की मिदहत
मौला के फ़रिश्ते ख़ुद जिन को झूले में झुलाया करते हैं

एक मैं ही नहीं हूँ शैदाई सरकार के नूरी जल्वों के
दीदार की ख़ातिर सिदरा से जिब्रील भी आया करते हैं

सूरज को पसीना आता है और चाँद कहीं छुप जाता है
सरकार ए मदीना चेहरे से जब पर्दा हटाया करते हैं

दुश्मन का कलेजा फटता है उश्शाक़ मचलने लगते हैं
जब ताज ए शरीअत का सागर हम नारा लगाया करते हैं

Ye Duniya Kaisi Duniya Hai Sab Apna Paraya Karte Hain
Ek Rehmat-e-Aalam hi sab ko seene se lagaya karte hain

Alfaaz nahiin jumlay bhi nahiin kaise main karun un ki mid’hat
Maula ke farishte khud jin ko jhoole mein jhulaya karte hain

Ek main hi nahiin hoon shaidaai Sarkar ke noori jalwon ke
Deedaar ki khaatir Sidra se Jibreel bhi aaya karte hain

Sooraj ko paseena aata hai aur chaand kahin chhup jaata hai
Sarkar-e-Madina chehre se jab parda hataya karte hain

Dushman ka kaleja phat’ta hai ushshaaq machalne lagte hain
Jab Taaj-e-Shari’at ka Saagar hum naara lagaya karte hain