WhatsApp logo Join Naat Group

उनकी राहों में निगाहों को बिछा रखा है / Unki raahon mein nigahon ko bichha rakha hai

उनकी राहों में निगाहों को बिछा रखा है
दिल को सरकार का दीवाना बना रखा है

देखो पहलोलु तो करते हैं खुदा से बातें
लोग कहते हैं के क्या हाल बना रखा है

ताकते नारा ए तकबीर बताऊं कैसे
एक नारा नो ज़माने को हिला रखा है

एक सिद्धिक है और दूसरे फारूक जीने
मेरे सरकार ने पेहलोलु में सुला रखा है

जोभी सरकार को देखे वो यही कहता है
हुसने आका के सीबा खुल्द में क्या रखा है

उसको जन्नत में सजाएंगे फिरिश्ते रब के
जिने सरकार की मेहफिल को सजा रखा है

कौन कब किस जगह दोजग के हवाले होगा
मेरे सरकार ने पहले से बता रखा है

उसके फारूक के गिरा पाएना कोई दुश्मन
जिसको सरकार दो आलम ने उठा रखा है

Unki raahon mein nigahon ko bichha rakha hai
Dil ko sarkaar ka deewana bana rakha hai

Dekho pehlolu to karte hain Khuda se baatein
Log kehte hain ke kya haal bana rakha hai

Takte naara-e-takbeer bataoon kaise
Ek naara ne zamane ko hila rakha hai

Ek Siddiq hai aur doosre Farook jeene
Mere sarkaar ne pehlolu mein sula rakha hai

Jo bhi sarkaar ko dekhe wo yahi kehta hai
Husne Aaqa ke seeba Khuld mein kya rakha hai

Usko jannat mein sajaayenge farishte Rab ke
Jine sarkaar ki mehfil ko saja rakha hai

Kaun kab kis jagah dozakh ke hawale hoga
Mere sarkaar ne pehle se bata rakha hai

Uske Farook ke gira paayena koi dushman
Jisko sarkaar do aalam ne utha rakha hai