शमशीर करबला में उठाई हुसैन ने
अज़मत नबी के दीं की बचाई हुसैन ने
ऐसा लगा के आ गए मैदान में अली
जब रन में ज़ुल्फ़िक़ार चलाई हुसैन ने
शमशीर करबला में उठाई हुसैन ने
अज़मत नबी के दीं की बचाई हुसैन ने
लगता था जैसे इश्क़ का काबा झुका हुवा
सजदे में जब ज़बीन झुकाई हुसैन ने
जन्नत में ला के सूए जहन्नम से खींच कर
क़िस्मत जनाबे हुर्र की जगाई हुसैन ने
हाथों में ले के असग़रे मज़लूम का लहू
ज़ुल्मों सितम की आग बुझाई हुसैन ने
एक इन्क़िलाब आ गया मैदाने जंग में
अकबर को जब ज़बान चुसाई हुसैन ने
तयबा है दर्सगाह मदरसा शहे उमम
तालीम इस तरह से है पाई हुसैन ने
सर कट गया है फिर भी नेज़े की नोक पर
आयत कलामे हक़ की सुनाई हुसैन ने
मुमताज़ करबला से सदा आती है यहीं
बिगड़ी हर एक बात बनाई हुसैन ने
Shamsheer Karbala mein uthai Hussain ne
Azmat Nabi ke deen ki bachai Hussain ne
Aisa laga ke aa gaye maidan mein Ali
Jab ran mein Zulfiqar chalai Hussain ne
Shamsheer Karbala mein uthai Hussain ne
Azmat Nabi ke deen ki bachai Hussain ne
Lagta tha jaise ishq ka Kaaba jhuka hua
Sajde mein jab zabeen jhukai Hussain ne
Jannat mein la ke, sue Jahannam se kheench kar
Qismat Janabe Hurri ki jagai Hussain ne
Haathon mein le ke Asgare Mazloom ka lahoo
Zulmon sitam ki aag bujhai Hussain ne
Ek Inqilaab aa gaya maidan-e-jang mein
Akbar ko jab zaban chusai Hussain ne
Tayba hai darsgah Madarsa Shahe Ummam
Taleem is tarah se hai pai Hussain ne
Sar kat gaya hai phir bhi neze ki nok par
Aayat Kalam-e-Haq ki sunai Hussain ne
Mumtaz Karbala se sada aati hai yahi
Bigdi har ek baat banai Hussain ne