WhatsApp logo Join Naat Group

Roz o shab khela kiye zanjeer ki jhankar se / रोज़ो शब खेला किए ज़ंजीर की झंकार से

रोज़ो शब खेला किए ज़ंजीर की झंकार से
कितना कुछ सीखा है तुमने आबिदे-बीमार से

कौन था मर्दे-मुजाहिद पूछिए अग़्यार से
खलबली सी मच गई थी जिसकी एक ललकार से

रोज़ो शब खेला किए ज़ंजीर की झंकार से
कितना कुछ सीखा है तुमने आबिदे-बीमार से

जानों-दिल क्यूं ना लुटाएं हम मुजाहिद के लिएं
सुन्नियत रौशन हुई उनके हंसी किरदार से

ऐं मुजाहिद तुझसे कोई जीत सकता ही नहीं
इ़ल्म के सूरज निकलते हैं तेरी दस्तार से

काश गर होते मुजाहिद रू-बरू इस दौर में
किस में दम था खेलता दीने शहे अबरार से

मत रखो मर्दे मुजाहिद के नवासे से जलन
वरना करदूंगा शिकायत अज़हरी सरकार से

अज़हरी सरकार के ग़द्दार से ये बोल दो
बच नहीं सकता है हर गिज़ वो ह़बीबी मार से

Roz o shab khela kiye zanjeer ki jhankar se
Kitna kuch seekha hai tumne Abide-Bimar se

Kaun tha marde-mujahid, poochiye aghyar se
Khalbali si mach gayi thi, jiski ek lalkar se

Roz-o-shab khela kiye zanjeer ki jhankar se
Kitna kuch seekha hai tumne Abide-Bimar se

Jaano-dil kyun na lutayein hum mujahid ke liye
Sunnayat roshan hui unke hansi kirdaar se

Ae mujahid, tujhse koi jeet sakta hi nahi
Ilm ke sooraj nikalte hain teri dastar se

Kaash gar hote mujahid roob-roo is daur mein
Kis mein dum tha khelta deen-e-shah-e-abrar se

Mat rakho marde-mujahid ke nawase se jalan
Warna kar doonga shikayat Azhari Sarkar se

Azhari Sarkar ke gadar se ye bol do
Bach nahi sakta hai har giz woh habibi maar se