WhatsApp logo Join Naat Group

Navasa yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain / नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं
वो नाना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

वो गलियाँ और वो मस्जिद जहाँ शब्बीर रहते थे
मदीना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं
मज़ारे सरवरे आलम से वो किस दिल से बिछड़े थे
बिछड़ना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

हज़ारों ख़त जहाँ से आले सरवर के लिए आए
वो कूफ़ा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

जिसे सुनते ही हुर्र शब्बीर के क़दमों में आए थे
वो ख़ुत्बा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

गले पर तीर जिस के हुरमला ज़ालिम ने मारा था
वो बच्चा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उठाते ही जिसे शब्बीर के सब बाल पक जाएँ
वो लाशा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उधर अब्बास के बाज़ू इधर नन्ही सकीना का
तड़पना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बहत्तर ज़ख़्म तीरो ख़ंजरो तलवार हर जानिब
वो सज्दा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बदन पर जिस जगह शब्बीर के घोड़े थे दौड़ाए
वो सहरा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बहत्तर ज़ख़्म लाखों ग़म बहत्तर घंटो का रोज़ा
वो रोज़ा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उठा कर जिस पे लाशे आप लाए अपने ख़ैमे तक
वो काँधा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

तमाचे मारना ख़ैमे जलाना करना बे पर्दा
ये सारा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

सिनां की नोक पर जावेद पढ़ना आयते क़ुरआँ
वो पढ़ना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

Navasa yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain
Woh Nana yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Woh galiyan aur woh masjid jahan Shabbir rehte the
Madinah yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Navasa yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain
Mazar-e-Sarware-Alam se woh kis dil se bichde the
Bichhadna yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Hazaron khat jahan se Aale Sarwar ke liye aaye
Woh Kufa yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Jise sunte hi hur Shabbir ke qadam mein aaye the
Woh khutba yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Gale par teer jis ke Hurmala zalim ne maara tha
Woh bachcha yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Uthate hi jise Shabbir ke sab baal pak jaayein
Woh laasha yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Udhar Abbas ke baazu idhar nanhi Sakina ka
Tadapna yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Bahtareen zakhm teeron khanjaron talwar har jaanib
Woh sajda yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Badan par jis jagah Shabbir ke ghode the daudaye
Woh sehra yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Bahtareen zakhm, laakhon gham, bahtareen ghanto ka roza
Woh roza yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Utha kar jis pe laashay aap laaye apne khaime tak
Woh kandha yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Tamache maarna, khaime jalana, karna be-parda
Yeh saara yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain

Sina ki nok par Javed padhna aayate Qur’an
Woh padhna yaad aata hai to aankhein bheeg jaati hain