नबी के नूर की बरकत जनाबे ज़ैनब हैं
अली के घर की शराफ़त जनाबे ज़ैनब हैं
खदीजा नानी के चेहरे का अक्स हैं जै़नब
और अपने नाना की सीरत जनाबे ज़ैनब हैं
अली के लहजे में दुश्मन से बात करती थी
अली के खुत्बे की हैबत जनाबे जै़नब है
हुसैन तेरे लिएं रब ने उस को भेजा था
के कर्बला की ज़रूरत जनाबे ज़ैनब हैं
वो कर्बला में नज़र आईं मुर्तजा़ की तरह
यजी़दियों पे क़यामत जनाबे ज़ैनब हैं
बचा के लाई है कर्बल से अपने आबिद को
अली की नस्ल पै रह़मत जनाबे ज़ैनब हैं
के उनका ग़म ही बनेगा निजात का ज़रिया
मेरे लिएं मेरी जन्नत जनाबे ज़ैनब हैं
नबी के नूर की बरकत जनाबे ज़ैनब हैं
अली के घर की शराफ़त जनाबे ज़ैनब हैं
Nabi ke noor ki barakat janabe Zainab hain
Ali ke ghar ki sharafat janabe Zainab hain
Khadeeja nani ke chehre ka aks hain Zainab
Aur apne nana ki seerat janabe Zainab hain
Ali ke lahje mein dushman se baat karti thi
Ali ke khutbe ki haiyat janabe Zainab hain
Husain tere liye Rab ne us ko bheja tha
Ke Karbala ki zarurat janabe Zainab hain
Woh Karbala mein nazar aayi Murtaza ki tarah
Yazidiyon pe qayamat janabe Zainab hain
Bacha ke laayi hai Karbala se apne Abid ko
Ali ki nasl pe rehmat janabe Zainab hain
Ke unka gham hi banega nijat ka zariya
Mere liye meri jannat janabe Zainab hain
Nabi ke noor ki barakat janabe Zainab hain
Ali ke ghar ki sharafat janabe Zainab hain