WhatsApp logo Join Naat Group

Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai / नबी का नाम जब मेरे लबों पर रक़्स करता है

नबी का नाम जब मेरे लबों पर रक़्स करता है
लहू भी मेरी शिरयानों के अंदर रक़्स करता है

मेरी बेचैन आँखों में वो जब तशरीफ़ लाते हैं
तसव्वुर उन के दामन से लिपट कर रक़्स करता है

वो सहराओं में भी पानी पिला देते हैं प्यासों को
कि उन की उँगलियों में भी समंदर रक़्स करता है

पड़े हैं नक़्श ए पा ए मुस्तफ़ा के हार गर्दन में
जभी तो रूह लहराती है पैकर रक़्स करता है

ख़याल आता है जब भी गर्मी ए रोज़ ए क़ियामत का
ग़म ए इस्याँ सर ए दरिया ए कौसर रक़्स करता है

ज़मीन ओ आसमाँ भी अपने क़ाबू में नहीं रहते
तड़प कर जब मुहम्मद का क़लंदर रक़्स करता है

लगी है भीड़ उस के गिर्द ये कैसी फ़रिश्तों की
ये किस का नाम ले ले कर मुज़फ़्फ़र रक़्स करता है

Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai
lahoo bhi meri shiryaano.n ke andar raqs karta hai

meri bechain aankho.n me.n wo jab tashreef laate hai.n
tasawwur un ke daaman se lipat kar raqs karta hai

wo sahraao.n me.n bhi paani pila dete hai.n pyaaso.n ko
ki un ki ungliyo.n me.n bhi samandar raqs karta hai

pa.De hai.n naqsh-e-paa-e-mustafa ke haar gardan me.n
jabhi to rooh lehraati hai, paikar raqs karta hai

KHayaal aata hai jab bhi garmi-e-roz-e-qiyaamat ka
Gam-e-‘isyaa.n sar-e-dariya-e-kausar raqs karta hai

zameen-o-aasmaa.n bhi apne qaabu me.n nahi.n rehte
ta.Dap kar jab muhammad ka qalandar raqs karta hai

lagi hai bhee.D us ke gird ye kaisi farishto.n ki
ye kis ka naam le le kar Muzaffar raqs karta hai