Naat Sarkaar Ki Padhta Hun Main (All Versions) / नात सरकार की पढ़ता हूँ मैं

नात सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रह़मत होगी
इक तेरा नाम वसीला है मेरा
रंजbओ ग़म में भी इसी नाम से राहत होगी

ये सुना है कि बहुत गोर अँधेरी होगी
क़ब्र का ख़ौफ़ न रखना ए दिल
वहाँ सरकार के चेहरे की ज़ियारत होगी

कभी यासीं कभी ता़हा कभी वलैल आया
जिस की क़समें मेरा रब खाता है
कितनी दिल कश मेरे महबूब की सूरत होगी

हश्र का दिन भी अजब देखने वाला होगा
ज़ुल्फ़ लहराते वो जब आएँगे
फिर क़यामत पे भी ख़ुद एक क़यामत होगी

उन को मुख़्तार बनाया है मेरे अल्लाह ने
ख़ुल्द में बस वो ही जा सकता है
जिस को हसनैन के नाना की इजाज़त होगी

दो-जहाँ में उसे फिर कौन पनाह में लेगा
होगा रुस्वा वो सर ए हश्र जिसे
सय्यिदा ज़हरा के बच्चों से अदावत होगी

उन की चौखट पे पड़े हैं तो बड़ी मौज में हैं
लौट के आएँगे जब उस दर से
मेरे दिल तू ही बता क्या तेरी हालत होगी

रश्क से दूर खड़े देखते होंगे ज़ाहिद
जब सर ए हश्र गुनाहगारों पर
मेरे आक़ा का करम होगा इनायत होगी

मेरा दामन तो गुनाहों से भरा है अल्ताफ़
इक सहारा है कि मैं तेरा हूँ
इसी निस्बत से सर ए हश्र शफ़ाअत होगी

ये नाम कोई काम बिगड़ने नहीं देता
बिगड़े भी बना देता है बस नाम ए मुहम्मद

नातें सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रौनक़ होगी
इक तेरा नाम वसीला है मेरा
रंज ओ ग़म में बस इसी नाम से राहत होगी

नातें सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रौनक़ होगी

या रसूलल्लाह या हबीबल्लाह

या मुहम्मद मुहम्मद मैं कहता रहा
नूर के मोतियों की लड़ी बन गई
आयतों से मिलाता रहा आयतें
फिर जो देखा तो नात ए नबी बन गई

या मुहम्मद मुहम्मद मैं कहता रहा
नूर के मोतियों की लड़ी बन गई

जो भी आँसू बहे मेरे सरकार के
सब के सब अब्र ए रहमत के छींटे बने
छा गई रात जब ज़ुल्फ़ लहरा गई
जब तबस्सुम किया चाँदनी बन गई

या मुहम्मद मुहम्मद मैं कहता रहा
नूर के मोतियों की लड़ी बन गई

क़ुर्बान मैं उन की बख़्शिश के मक़्सद भी ज़बाँ पर आया नहीं
बिन माँगे दिया और इतना दिया दामन में हमारे समाया नहीं

ये सुना है कि बहुत गोर अँधेरी होगी
क़ब्र का ख़ौफ़ न रखना ए दिल
वहाँ सरकार के चेहरे की ज़ियारत होगी

नातें सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रौनक़ होगी

हश्र का दिन भी अजब देखने वाला होगा
ज़ुल्फ़ लहराते वो जब आएँगे
फिर क़यामत में भी इक और क़यामत होगी

नातें सरकार की पढ़ता हूँ मैं
बस इसी बात से घर में मेरे रौनक़ होगी

या रसूलल्लाह या हबीबल्लाह

Naat Sarkaar Ki Padhta Hun Main
Bas isi baat se ghar mein mere rehmat hogi
Ik tera naam waseela hai mera
Ranj-o-gham mein bhi isi naam se raahat hogi

Yeh suna hai ke bohot ghore andheri hogi
Qabr ka khauf na rakhna ae dil
Wahan Sarkar ke chehre ki ziyaarat hogi

Kabhi Yaseen, kabhi Taha, kabhi Waleil aaya
Jis ki qasmein mera Rab khaata hai
Kitni dilkash mere mehboob ki soorat hogi

Hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga
Zulf lehrate woh jab aayenge
Phir qayamat pe bhi khud ek qayamat hogi

Unko mukhtaar banaya hai mere Allah ne
Khuld mein bas wohi ja sakta hai
Jisko Hasnain ke naana ki ijaazat hogi

Do-jahaan mein use phir kaun panaah mein lega
Hoga ruswa woh sar-e-hashr jise
Sayyida Zahra ke bachchon se adawat hogi

Unki chaukhat pe paday hain to badi mauj mein hain
Laut ke aayenge jab us dar se
Mere dil tu hi bata kya teri haalat hogi

Rashk se door kharay dekhte honge Zahid
Jab sar-e-hashr gunaahgaaron par
Mere Aaqa ka karam hoga inaayat hogi

Mera daaman to gunaahon se bhara hai Altaaf
Ik sahaara hai ke main tera hoon
Isi nisbat se sar-e-hashr shafa’at hogi

Yeh naam koi kaam bigadne nahi deta
Bigray bhi bana deta hai bas Naam-e-Muhammad

Naaten Sarkar ki padhta hoon main
Bas isi baat se ghar mein mere raunaq hogi
Ik tera naam waseela hai mera
Ranj-o-gham mein bas isi naam se raahat hogi

Naaten Sarkar ki padhta hoon main
Bas isi baat se ghar mein mere raunaq hogi

Ya Rasool Allah, Ya Habeeb Allah

Ya Muhammad, Muhammad main kehta raha
Noor ke motiyon ki ladi ban gayi
Aayaton se milaata raha aayatein
Phir jo dekha to Naat-e-Nabi ban gayi

Ya Muhammad, Muhammad main kehta raha
Noor ke motiyon ki ladi ban gayi

Jo bhi aansu bahe mere Sarkar ke
Sab ke sab abr-e-rahmat ke chhinte baney
Chha gayi raat jab zulf lehra gayi
Jab tabassum kiya, chaandni ban gayi

Ya Muhammad, Muhammad main kehta raha
Noor ke motiyon ki ladi ban gayi

Qurbaan main unki bakhshish ke
Maqsad bhi zabaan par aaya nahi
Bin maange diya aur itna diya
Daaman mein hamare samaaya nahi

Yeh suna hai ke bohot ghore andheri hogi
Qabr ka khauf na rakhna ae dil
Wahan Sarkar ke chehre ki ziyaarat hogi

Naaten Sarkar ki padhta hoon main
Bas isi baat se ghar mein mere raunaq hogi

Hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga
Zulf lehrate woh jab aayenge
Phir qayamat mein bhi ek aur qayamat hogi

Naaten Sarkar ki padhta hoon main
Bas isi baat se ghar mein mere raunaq hogi

Ya Rasool Allah, Ya Habeeb Allah