मोहम्मद मुस्तफा सा कोई दाता हो नहीं सकता
वहां से कोई खाली आए ऐसा हो नहीं सकता
रसूले पाक को हमने खु़दा का नूर माना है
हमारी क़ब्र में हरगिज़ अंधेरा हो नहीं सकता
जमालो हुस्न वाले तो बहुत आए हैं दुनिया में
मगर कोई मेरे सरकार जैसा हो नहीं सकता
ज़मीने हिंद पर अब भी मेरे ख़्वाजा का क़ब्ज़ा है
यहां इनके अलावा कोई राजा हो नहीं सकता
बता दो मसलके अह़मद रजा़ से जलने वालों को
के इस झंडे से ऊंचा कोई झंडा हो नहीं सकता
करें गुस्ताखियां जो शक्स भी शाने रिसालत में
क़सम अल्लाह की जायज़ वो बेटा हो नहीं सकता
Mohammad Mustafa sa koi daata ho nahi sakta
Wahan se koi khaali aaye aisa ho nahi sakta
Rasool-e-Pak ko humne Khuda ka noor maana hai
Hamari qabr mein hargiz andhera ho nahi sakta
Jamaalo husn waale to bohot aaye hain duniya mein
Magar koi mere Sarkaar jaisa ho nahi sakta
Zameene Hind par ab bhi mere Khwaja ka qabza hai
Yahan inke alawa koi raja ho nahi sakta
Bata do maslaka-e-Ahmad Raza se jalne walon ko
Ke is jhande se ooncha koi jhanda ho nahi sakta
Karein gustakhiyaan jo shakhs bhi shaane risalat mein
Qasam Allah ki jaayaz wo beta ho nahi sakta