मिल्लत के रहनुमा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
सरदार ए औलिया हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
किरदार में झलक है अनवार ए मुस्तफ़ा की
नूरानी आईना हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
इन को वसीला कर लो सब कुछ तुम्हें मिलेगा
अल्लाह की रिज़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
सीना ब सीना पहुँची हसनैन की विरासत
फ़रज़ंद ए मुर्तज़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
इन से हुई दो बाला सादात की तजल्ली
इक नय्यर ए सफ़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
कौनैन की बुलंदी है इन के नक़्श ए पा में
महबूब ए मुस्तफ़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
सिद्दीक़ के करम से इन का लक़ब है सादिक़
फ़ारूक़ की अता हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
कूँडे का ये तबर्रुक दिल ताब ओ जाँ फ़िज़ा है
ईमान की ज़िया हैं हज़रत इमाम जाफ़र
जो कुछ भी इन से माँगा हम को मिला फ़रीदी
उस्मान की सख़ा हैं हज़रत इमाम जाफ़र
Millat Ke Rehnuma Hain Hazrat Imam Jafar
sardaar-e-auliya hai.n hazrat imaam jaa’far
kirdaar me.n jhalak hai anwaar-e-mustafa ki
nooraani aaina hai.n hazrat imaam jaa’far
in ko waseela kar lo, sab kuchh tumhe.n milega
allah ki riza hai.n hazrat imaam jaa’far
seena-ba-seena pahunchi hasnain ki wiraasat
farzand-e-murtaza hai.n hazrat imaam jaa’far
in se hui do-baala saadaat ki tajalli
ik nayyar-e-safa hai.n hazrat imaam jaa’far
kaunain ki bulandi hai in ke naqsh-e-paa me.n
mahboob-e-mustafa hai.n hazrat imaam jaa’far
siddiq ke karam se in ka laqab hai saadiq
faarooq ki ‘ata hai.n hazrat imaam jaa’far
kunDe ka ye tabarruk dil-taab-o-jaa.n-fiza hai
imaan ki ziya hai.n hazrat imaam jaa’far
jo kuchh bhi in se maanga, ham ko mila, Fareedi !
‘usmaan ki saKHa hai.n hazrat imaam jaa’far