मैं बंदा ए अ़ली हूॅं मुहब्बत अ़ली से है
वा-बस्ता आज भी मेरी क़िस्मत अ़ली से है
मोमिन है वो के जिसको मुहब्बत अ़ली से है
काज़िब है वो के जिसको अ़दावत अ़ली से है
तारीख़ का हर एक वरक़ है निगाह में
हर दौर में खु़लूस की क़ीमत अ़ली से है
बदरो हुनैन ख़न्दको़ ख़ैबर गवाह हैं
इस्लाम की रगो में हरारत अ़ली से है
शाहे मरदाॅं शेरे यज़दाॅं कु़व्वते परवर दिगार
ला फता इल्ला अ़ली लाशैख़ इल्ला जु़ल्फीका़र
वारिस अ़ली की ज़ात से मनसूब हूॅं रशीद
मुझ जैसे ये ह़क़ीर को निसबत अली से है
Main banda e Ali hoon mohabbat Ali se hai
Wa-basta aaj bhi meri qismat Ali se hai
Momin hai wo ke jisko mohabbat Ali se hai
Kazib hai wo ke jisko adawat Ali se hai
Tareekh ka har ek warq hai nigah mein
Har daur mein khuloos ki qeemat Ali se hai
Badar-o-Hunain, Khandaq-o-Khaibar gawah hain
Islam ki ragon mein hararat Ali se hai
Shaah-e-Mardan, Sher-e-Yazdan, Quwwat-e-Parwardigar
La fata illa Ali, la shaikh illa Zulfiqar
Waris Ali ki zaat se mansoob hoon Rasheed
Mujh jaise ye haqeer ko nisbat Ali se hai