लब पे जब नाम ए मुहम्मद की सदा आती है
उन के दरबार से रहमत की घटा आती है
हिज्र ए सरकार के ग़म में जो क़ज़ा आती है
उस कफ़न के लिए जन्नत से रिदा आती है
मर गया इश्क़ ए मुहम्मद जो बसा कर दिल में
क़ब्र में उस की मदीने से हवा आती है
क़ब्र में बोले नकीरैन कि सोने दो इसे
इस की रग रग से हमें बू ए वफ़ा आती है
उन का बीमार हूँ छेड़ो न तबीबो मुझ को
मेरी हर रोज़ मदीने से दवा आती है
भीनी ख़ुश्बू से महक जाती हैं गलियाँ गुलज़ार
उन के रौज़े से लिपट कर जो सबा आती है
Lab Pe Jab Naam e Muhammad Ki Sada Aati Hai
un ke darbaar se rahmat ki ghaTa aati hai
hijr-e-sarkaar ke Gam me.n jo qaza aati hai
us kafan ke liye jannat se rida aati hai
mar gaya ‘ishq-e-muhammad jo basa kar dil me.n
qabr me.n us ki madine se hawa aati hai
qabr me.n bole nakeerain ki sone do ise
is ki rag rag se hame.n boo-e-wafa aati hai
un ka beemaar hu.n chhe.Do na, tabeebo ! mujh ko
meri har roz madine se dawa aati hai
bheeni Khushboo se mahak jaati hai.n, galiyaa.n, Gulzar !
un ke rauze se lipaT kar jo saba aati hai