Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki / क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की

क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की

चलता हूँ मैं भी क़ाफ़िले वालो रुको ज़रा
मिलने दो बस मुझे भी इजाज़त रसूल की

पूछें जो दीन ओ ईमाँ नकीरैन क़ब्र में
उस वक़्त मेरे लब पे हो मिदहत रसूल की

क़ब्र में सरकार आएँ तो मैं क़दमों में गिरूँ
गर फ़रिश्ते भी उठाएँ तो मैं उन से यूँ कहूँ

अब तो पाए नाज़ से मैं ऐ फ़रिश्तो क्यूँ उठूँ
मर के पहुँचा हूँ यहाँ इस दिलरुबा के वास्ते

तड़पा के उन के क़दमों में मुझ को गिरा दे शौक़
जिस वक़्त हो लहद में ज़ियारत रसूल की

सरकार ने बुला के मदीना दिखा दिया
होगी मुझे नसीब शफ़ा अत रसूल की

या रब दिखा दे आज की शब जल्वा ए हबीब
इक बार तो अता हो ज़ियारत रसूल की

इन आँखों का वर्ना कोई मसरफ़ ही नहीं है
सरकार तुम्हारा रुख़ ए ज़ेबा नज़र आए

या रब दिखा दे आज की शब जल्वा ए हबीब
इक बार तो अता हो ज़ियारत रसूल की

तू है ग़ुलाम उन का उबैद ए रज़ा तेरे
महशर में होगी साथ हिमायत रसूल की

Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
jannat me.n le ke jaaegi chaahat rasool ki

chalta hu.n mai.n bhi, qaafile waalo ! ruko zara
milne do bas mujhe bhi ijaazat rasool ki

poochhe.n jo deen-o-imaa.n nakirain qabr me.n
us waqt mere lab pe ho mid.hat rasool ki

qabr me.n sarkaar aae.n to mai.n qadmo.n me.n giru.n
gar farishte bhi uThaaae.n to mai.n un se yu.n kahu.n
ab to paa-e-naaz se mai.n, ai farishto ! kyu.n uThu.n ?
mar ke pahuncha hu.n yaha.n is dilruba ke waaste

ta.Dpa ke un ke qadmo.n me.n mujh ko gira de shauq
jis waqt ho lahad me.n ziyaarat rasool ki

sarkaar ne bula ke madina dikha diya
hogi mujhe naseeb shafaa’at rasool ki

ya rab ! dikha de aaj ki shab jalwa-e-habeeb
ik baar to ‘ata ho ziyaarat rasool ki

in aankho.n ka warna koi masraf hi nahi.n hai
sarkaar ! tumhaara ruKH-e-zeba nazar aae

ya rab ! dikha de aaj ki shab jalwa-e-habeeb
ik baar to ‘ata ho ziyaarat rasool ki

tu hai Gulaam un ka, ‘Ubaid-e-Raza ! tere
mehshar me.n hogi saath himaayat rasool ki