क्यों कर भला न होगा अब रशके-तूर सीना
मेरी आरज़ू मुहम्मद मेरी जुस्तुजू मदीना
मैं गदा ए मुस्त़फा़ हू मेरी अज़मतें न पूछो
मुझे देख कर जहन्नम को भी आ गया पसीना
मुझे दुश्मनों न छेड़ो मेरा है कोई जहां में
मैं अभी पुकार लूंगा नहीं दूर है मदीना
ब जुज़ इसके ज़िंदगी में नहीं और कुछ तमन्ना
मुझे मौत भी जो आए तो हो सामने मदीना
मेरी डूबने में बाकी न कोई कसर रही थी
कहा अल मदद मुहम्मद तो उभर गया सफ़ीना
इन्हीं दोनों मंजि़लों की मैं हदों में खो गया हूं
कभी रू बरू है काबा कभी सामने मदीना
मैं मरीज़े मुस्तफा हूं मुझे छेड़ो न तबीबो
मेरी जिंदगी जो चाहों मुझे ले चलो मदीना
कभी ऐं शकील दिल से न मिटे ख़्याले-अह़मद
इसी आरज़ू में मरना इसी आरज़ू में जीना
Kyon kar bhala na hoga ab rashke toor seena
Meri aarzoo Muhammad meri justuju Medina
Main gada-e-Mustafa hoon meri azmatain na poochho
Mujhe dekh kar Jahannam ko bhi aa gaya paseena
Mujhe dushmanon na chhedo mera hai koi jahan mein
Main abhi pukar loonga, nahin door hai Medina
B juz iske zindagi mein nahin aur kuch tamanna
Mujhe maut bhi jo aaye to ho samne Medina
Meri doobne mein baaki na koi kasar rahi thi
Kaha al-madad Muhammad to ubhar gaya safeena
Inhi dono manzilon ki main hadon mein kho gaya hoon
Kabhi roobaroo hai Kaaba kabhi samne Medina
Main mareez-e-Mustafa hoon mujhe chhedo na tabeebo
Meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Medina
Kabhi ai Shakeel dil se na mite khayale-Ahmad
Isi aarzoo mein marna, isi aarzoo mein jeena