कितना सख़ी है दर मेरे आक़ा हुसैन का
खाते हैं लोग आज भी सदक़ा हुसैन का
दुनिया में जो गु़लाम हैं मेरे हुसैन के
रखे गा लाज ह़श्र में नाना हुसैन का
आंखो को आंसुओ से मैं करता हूं बा-वज़ू
होता है ज़िक्र जब कहीं मौला हु़सैन का
देखे गा किस तरह कोई मेरी निगाह से
दीने मोहम्मदी पे है पहरा हुसैन का
Kitna sakhi hai dar mere aaqa Hussain ka
Khaate hain log aaj bhi sadqa Hussain ka
Duniya mein jo ghulam hain mere Hussain ke
Rakhe ga laaj hashar mein Nana Hussain ka
Aankhon ko aansuon se main karta hoon ba-wazu
Hota hai zikr jab kahin Moula Hussain ka
Dekhe ga kis tarah koi meri nigah se
Deene Muhammadi pe hai pehra Hussain ka