किसी आदमी की तरफ क्यों मैं देखूं
किसी आदमी की ज़रूरत नहीं है
बस आका़ ही मेरे मेरा साथ देंगे
मुझे अब किसी की ज़रूरत नहीं है
ज़रा बद्र से लेके कर्बो बला तक
नज़र डालिए दीदे शाहे हुदा पर
कोई एक मौक़ा ऐसा दिखा दो
जहां पर अ़ली की ज़रूरत नहीं है
किसी आदमी की तरफ क्यों मैं देखूं
किसी आदमी की ज़रूरत नहीं है
यहीं दफ़्न हो जाएगा सारा झगड़ा
यहीं ख़त्म हो जाएगा सारा कि़स्सा
अबू बक्र फारूक़ उसमां से पूछो
किसको अ़ली की ज़रूरत नहीं है
उन्हें देखकर रश्क़ करते तो होंगे
सहा़बा ये आपस में कहते तो होंगे
जहां पर हों सिद्दिक़े अकबर वहां पर
किसी भी सखी़ की ज़रूरत नहीं है
उमर के तअ़ल्लुक़ से फरमाएं आका़
मेरे बाद भी गर नबी कोई होता
तो फिर वो उमर होते ऐ दुनिया वालो
मगर अब नबी की ज़रूरत नहीं है
जहां जलने वाले हों अह़मद रज़ा से
जहां चिढ़ने वाले हों अख़्तर रज़ा से
सुनो ग़ौर से ऐ मोहम्मद अली तुम
वहां हाज़री की ज़रूरत नहीं है
Kisi aadmi ki taraf kyun main dekhun
Kisi aadmi ki zaroorat nahi hai
Bas Aqa hi mere mera saath denge
Mujhe ab kisi ki zaroorat nahi hai
Zara Badar se leke Karbo Bala tak
Nazar daaliye deede Shah-e-Huda par
Koi ek mauka aisa dikha do
Jahan par Ali ki zaroorat nahi hai
Kisi aadmi ki taraf kyun main dekhun
Kisi aadmi ki zaroorat nahi hai
Yahin daf’n ho jaayega saara jhagda
Yahin khatam ho jaayega saara kissa
Abu Bakr, Farooq, Usman se poocho
Kisko Ali ki zaroorat nahi hai
Unhein dekh kar rishq karte to honge
Sahaba ye aapas mein kehte to honge
Jahan par hon Siddiq-e-Akbar wahan par
Kisi bhi sakhi ki zaroorat nahi hai
Umar ke ta’alluq se farmaaye Aqa
Mere baad bhi agar Nabi koi hota
To phir woh Umar hote ae duniya walon
Magar ab Nabi ki zaroorat nahi hai
Jahan jalne waale hon Ahmad Raza se
Jahan chidhne waale hon Akhtar Raza se
Suno gaur se ae Mohammad Ali tum
Wahan hazri ki zaroorat nahi hai