काश वो चेहरा मेरी आँख ने देखा होता
मुझ को तक़दीर ने उस दौर में लिक्खा होता
बातें सुनता मैं कभी पूछता मा’नी उन के
आप के सामने असहाब में बैठा होता
आयतें अब्र हैं और दश्त ज़माने सारे
हम कहाँ जाते अगर प्यास ने घेरा होता
हर सियाह रात में सूरज हैं हदीसें उन की
वो न आते तो ज़माने में अँधेरा होता
फ़ख़री जब मस्जिद ए नबवी में अज़ानें होतीं
मैं मदीने से गुज़रता हुआ झोंका होता
Kash Wo Chehra Meri Aankh Ne Dekha Hota
mujh ko taqdeer ne us daur me.n likkha hota
baate.n sunta mai.n kabhi, poochhta maa’ni un ke
aap ke saamne as.haab me.n baiTha hota
aayate.n abr hai.n aur dasht zamaane saare
ham kahaa.n jaate agar pyaas ne ghera hota
har siyaah raat me.n sooraj hai.n hadeese.n un ki
wo na aate to zamaane me.n andhera hota
FaKHri ! jab masjid-e-nabawi me.n azaane.n hoti.n
mai.n madine se guzarta huaa jhonka hota