जो दिल में सरवरे दीं की मुह़ब्बत ले के बैठे हैं
यक़ीनन औज पर वो अपनी क़िस्मत ले के बैठे हैं
फ़ना क्या है बक़ा क्या है बताया हम गुलामो को
मेरे साबिर पिया ऐसी करामत ले के बैठे हैं
यक़ीनन देख कर जिनको फलक़ पर चांद शरमाए
मेरे सालेह मुह़म्मद प्यारी सूरत ले के बैठे हैं
मेरे शब्बीरो शब्बर का है आ़ला मर्तबा यारो
वो सर नेज़े पे क़ुरआं की तिलावत ले के बैठे हैं
Jo dil mein sarvare deen ki muhabbat le ke baithe hain
Yaqinan aaz par wo apni qismat le ke baithe hain
Fanaa kya hai baqaa kya hai bataya hum gulaamo ko
Mere Sabir Piya aisi karamath le ke baithe hain
Yaqinan dekh kar jinko falak par chaand sharmaye
Mere Saleh Muhammad pyari soorat le ke baithe hain
Mere Shabbiro Shabbar ka hai aala martaba yaaro
Wo sar neze pe Qur’an ki tilawat le ke baithe hain