जीते जी वो जन्नत का नजारा नहीं देखा
कुछ भी नहीं देखा जो मदीना नहीं देखा
आती है सदा रोज यही करबो बला से
शब्बीर तेरे जैसा तो सजदा नहीं देखा
शब्बीर सरे नेजे पे करता है तिलावत
अरे कुरआन का कारी कही ऐसा नहीं देखा
जान नन्ही से है फिर भी शहादत का है जज्बा
असगर तेरे जैसा कोई बच्चा नहीं देखा
नारा लगा रहे है अरब की जमीन पर
सरकार मुजाहिद सा कलेजा नहीं देखा
है उर्स मुजाहिद के खलीफा का सुहाना
नजरों ने कहीं ऐसा नजारा नहीं देखा
अंदर है मुजाहिद तो कभी जेल के बाहर
अरे जेलर ने नजारा कभी ऐसा नहीं देखा
सरकारें मुजाहिद की है तू एक करामत
ऐ नेमत मिल्लत तेरे जैसा नहीं देखा
ना’त-ख़्वां
शाहनवाज हसन
Jeete jee wo jannat ka nazara nahin dekha
Kuch bhi nahin dekha jo Madina nahin dekha
Aati hai sada roz yahi karb o bala se
Shabbir tere jaisa to sajda nahin dekha
Shabbir sare neze pe karta hai tilawat
Are Quran ka qaari kahin aisa nahin dekha
Jaan nanhi si hai phir bhi shahadat ka hai jazba
Asghar tere jaisa koi bachcha nahin dekha
Naara laga rahe hain Arab ki zameen par
Sarkar mujahid sa kaleja nahin dekha
Hai Urs Mujahid ke Khalifa ka suhana
Nazron ne kahin aisa nazara nahin dekha
Andar hai Mujahid to kabhi jail ke baahar
Are jailer ne nazara kabhi aisa nahin dekha
Sarkarein Mujahid ki hai tu ek karaamat
Ae nemat e millat tere jaisa nahin dekha
Na’at-khwan:
Shahnawaz Hasan