WhatsApp logo Join Naat Group

Jashne Nabi karenge badi dhoom dhaam se / जश्ने नबी करेंगे बड़ी धूम धाम से

जश्ने नबी करेंगे बड़ी धूम धाम से
मतलब नहीं है हमको यजी़दी निजा़म से
तकलीफ जिसको होगी दरूदो सलाम से
तकलीफ उसको देंगे रज़ा के कलाम से

आला हज़रत के दीवाने
आला हज़रत के दीवाने

सुनकर रज़ा का ज़िक्र तलब गार हो गए
जो सो रहे थे नींद से बेदार हो गए
जब बात आ गई है नबी के वका़र पर
ये जान लुटाने को भी तय्यार हो गए

आला हज़रत के दीवाने
आला हज़रत के दीवाने

मरकज़ मेरा बरैली है मेरी वफा़ के साथ
बीमार चल रहे हैं मुकम्मल दवा के साथ
गुस्ताख़ देख लेंगे ये मैदाने हश्र में
है क़ादरी फकी़र रहेंगे रज़ा के साथ

आला हज़रत के दीवाने
आला हज़रत के दीवाने

अख़्तर रज़ा के चाहने वाले हैं हम जनाब
अख़्तर रज़ा के नाम का नारा लगाएंगे
माना है पीर ताजे शरिअ़त को जान से
ये जान है उन्हीं कि उन्हीं पर लुटाएंगे

आला हज़रत के दीवाने
आला हज़रत के दीवाने

चारों तरफ से कुफ्र के शोले उबल पड़े
करने लगे हुज़ूर पे ह़मले बड़े बड़े
कोई कहे हुज़ूर को अपनी तरह बशर
ज़िक्रे नबी को कोई कहे ग़ैर मौतबर
कोई नबी के इ़ल्म पे ताना ज़नी करे

कलमा पढ़े उन्ही का उन्ही को बुरा कहे
तौहीन कर रही थीं ये बातिल जमाअ़तें
मकबूल हो रही थी दिलों की समाअ़तें
आशिक़ नबी के रोके ये कहते थे बार बार
कब आएगा हमारे अक़ीदों का पहरे दार

नामूसे से मुस्तफा़ की हि़फाजत करेगा कौन
नजदी वहाबियों से मुकम्मल लड़ेगा कौन
अल्लाह का करम हुआ वो ज़ात आ गई
हम सुन्नियों के वास्ते इमदाद आ गई
बेटा नकी़ का बन के रज़ा खा़न आ गए

तस्वीरे सुन्नियत के निगहबान आ गए
बचपन से जिसने इश्क़ पढ़ा था हुज़ूर का
जिस पर नशा चढ़ा था शराबे तूऊर का
हर लफ्ज़ जिसका इश्क़े रिसालत मआ़ब है
बग़दाद वाले पीर का जो इंतखा़ब है

वो आ गया जो इश्क़ का मतलब बताएगा
नजदी वहाबीयों से अकी़दा बचाएगा
अहमद रज़ा के नाम से मशहूर होगा जो
माहरेरा वाले पीर को मंज़ूर होगा जो
हम सब उसी के नाम का नारा लगाएंगे
भटके हुए दिलों को मदीना बनाएंगे

Jashne Nabi karenge badi dhoom dhaam se
Matlab nahi hai humko Yazidi nizaam se
Takleef jisko hogi Daroodo Salaam se
Takleef usko denge Raza ke kalaam se

Aala Hazrat ke deewane
Aala Hazrat ke deewane

Sunkar Raza ka zikr talab gar ho gaye
Jo so rahe the, neend se bedaar ho gaye
Jab baat aa gayi hai Nabi ke izzat par
Ye jaan lutane ko bhi tayyar ho gaye

Aala Hazrat ke deewane
Aala Hazrat ke deewane

Markaz mera Bareilly hai meri wafa ke saath
Beemaar chal rahe hain mukammal dawa ke saath
Gustakh dekh lenge ye maidan-e-hashr mein
Hai Qadri faqeer rahenge Raza ke saath

Aala Hazrat ke deewane
Aala Hazrat ke deewane

Akhtar Raza ke chahne wale hain hum janab
Akhtar Raza ke naam ka naara lagaenge
Mana hai peer Taz-e-Shari’at ko jaan se
Ye jaan hai unhi ke jin par lutayenge

Aala Hazrat ke deewane
Aala Hazrat ke deewane

Chaaron taraf se kufr ke shole ubal pade
Karne lage huzoor pe hamle bade bade
Koi kahe huzoor ko apni tarah bashar
Zikre Nabi ko koi kahe ghair mautabar
Koi Nabi ke ilm pe taana zani kare

Kalma padhe unhi ka, unhi ko bura kahe
Tauheen kar rahi thi ye baatil jama’atain
Maqbool ho rahi thi dilon ki sama’atain
Aashiq Nabi ke roke ye kehte the baar baar
Kab aayega hamare aqeedo ka pahredar

Namoos-e-Mustafa ki hifaazat karega kaun
Najdi Wahabiyon se mukammal ladega kaun
Allah ka karam hua wo zaat aa gayi
Hum Sunnion ke waaste imdaad aa gayi
Beta Naqi ka ban ke Raza Khan aa gaye

Tasweere Sunnat ke nigahbaan aa gaye
Bachpan se jisne ishq padha tha Huzoor ka
Jis par nasha chadha tha sharaabe Toor ka
Har lafz jiska ishqe Risalat ma’ab hai
Baghdad wale Peer ka jo intikhaab hai

Woh aa gaya jo ishq ka matlab batayega
Najdi Wahabiyon se aqeeda bachayega
Ahmed Raza ke naam se mashhoor hoga jo
Maherera wale Peer ko manzoor hoga jo
Hum sab usi ke naam ka naara lagaenge
Bhatke hue dilon ko Madina banaenge