जहाँ पे मेरे पयंबर का तज़्किरा होगा
ख़ुदा के फज़्ल का पहरा वहाँ लगा होगा
यज़ीदी पहरा लगाएँ तो उस से क्या होगा
हुसैन तेरे ही क़ब्ज़े में कर्बला होगा
क़सम ख़ुदा की वो मंज़र बदल गया होता
यज़ीदियों का कलेजा दहल गया होता
हुसैन हाथ दुआ को अगर उठा देते
तो कर्बला में भी ज़मज़म निकल गया होता
नज़र से ख़ून नज़ारों से ख़ून टपकेगा
इशारा होता इशारों से ख़ून टपकेगा
अगर हुसैन के सज्दे को भूल जाओगे
तो मस्जिदों के मीनारों से ख़ून टपकेगा
लहू में रंग है बाक़ी तो कर्बला चलिए
अगर है ख़ून में गर्मी तो कर्बला चलिए
नबी के नाम का सदक़ा लुटा रहे हैं हुसैन
किसी को चाहिए पानी तो कर्बला चलिए
वहाँ की मौत भली है यहाँ के जीने से
जहाँ निकलता है ज़मज़म ज़मीं के सीने से
मैं उस हुसैन को क़ुरआँ नहीं तो क्या समझूँ
रसूल ए पाक लगाते हैं जिन को सीने से
Jahan pe mere payambar ka tazkira hoga
Khuda ke fazl ka pehra wahan laga hoga
Yazidi pehra lagaayein to us se kya hoga
Hussain tere hi qabze mein Karbala hoga
Qasam Khuda ki woh manzar badal gaya hota
Yazidiyon ka kaleja dehal gaya hota
Hussain haath dua ko agar utha dete
To Karbala mein bhi Zamzam nikal gaya hota
Nazar se khoon nazaron se khoon tapkega
Ishaara hota ishaaron se khoon tapkega
Agar Hussain ke sajde ko bhool jaoge
To masjidon ke minaaron se khoon tapkega
Lahu mein rang hai baaqi to Karbala chaliye
Agar hai khoon mein garmi to Karbala chaliye
Nabi ke naam ka sadqa luta rahe hain Hussain
Kisi ko chahiye paani to Karbala chaliye
Wahan ki maut bhali hai yahaan ke jeene se
Jahan nikalta hai Zamzam zameen ke seene se
Main us Hussain ko Quran nahi to kya samjhoon
Rasool-e-Pak lagaate hain jin ko seene se