WhatsApp logo Join Naat Group

Itna Kafi Hai Zindagi Ke Liye / इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए
रख लें आक़ा जो नौकरी के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

माह ओ ख़ुर्शीद उन की चौखट पर
रोज़ आते हैं रौशनी के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

चाँद-तारे भी उन के क़दमों में
रोज़ आते हैं रौशनी के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

दोनों आलम बनाए मौला ने
या नबी सिर्फ़ आप ही के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

तक के उन को अय्यूब के घर में
महल तरसे हैं झोंपड़ी के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

आ गए क़ब्र में भी छुड़वाने
दर्द कितना है उम्मती के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

लंबे सज्दे किये नबी ने कहा
ऐ नवासे तेरी ख़ुशी के लिए

इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए

दीद माँगी है उन की ऐ हाकिम
मैं ने बस वक़्त ए आख़री के लिए

Itna Kafi Hai Zindagi Ke Liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Mah o Khursheed un ki chaukhat par
Roz aate hain roshni ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Chaand-taare bhi un ke qadamoun mein
Roz aate hain roshni ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Dono aalam banaye Maula ne
Ya Nabi sirf aap hi ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Tak ke un ko Ayyub ke ghar mein
Mehal tarse hain jhopdi ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Aa gaye qabr mein bhi chhudwane
Dard kitna hai Ummati ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Lambee sajde kiye Nabi ne kaha
Ae Nawaase teri khushi ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Deed maangi hai un ki ae Haakim
Main ne bas waqt-e-aakhri ke liye
Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye