हम अ़ली के शैदा हैं और हुसैन वाले हैं
हमने बद अकी़दों के पैर तोड़ डाले हैं
फज़ले-ह़क़ तआ़ला से हम रसूल वाले हैं
इसलिए तो इज़्ज़त के हाथ में निवाले हैं
हम अ़ली के शैदा हैं और हुसैन वाले हैं
हमने बद अकी़दों के पैर तोड़ डाले हैं
मौत तेरी गर्दन पर जिसने हाथ डाले हैं
शेर हैं वो है़दर के फा़ति़मा के पाले हैं
उनके दर पे जाने को दिल बहुत तड़पता है
मेरे पाऊं में लेकिन मुफ़्लिसी के छाले हैं
दुश्मनों को आका़ का कैसे हो पता मालूम
गारे-सौर के मुंह पर मकड़ियों के जाले हैं
तू ने खुत्ब ए जै़नब क्या असर दिखाया था
मुल्के शाम में अब तक सबके मुंह पे ताले हैं
कुफ्र तेरे घर वाले कैसे मुंह छुपाएंगे
मुस्त़फा़ की आमद के हर तरफ़ उजाले हैं
जिस मका़म पर असग़र जंग लड़ने आए थे
मौत को वहां अब भी जिंदगी के लाले हैं
Hum Ali ke shaida hain aur Husain wale hain
Humne bad aqeedo ke pair tod daale hain
Fazle-Haq Ta’ala se hum Rasool wale hain
Isliye to izzat ke haath mein niwaale hain
Hum Ali ke shaida hain aur Husain wale hain
Humne bad aqeedo ke pair tod daale hain
Maut teri gardan par jismein haath daale hain
Sher hain woh Haider ke Fatima ke paale hain
Unke dar pe jaane ko dil bohot tadapta hai
Mere paon mein lekin muflisi ke chaale hain
Dushmanon ko Aka ka kaise ho pata maloom
Gare-Saur ke mounh par makdiyon ke jaale hain
Tu ne Khutba-e-Zainab kya asar dikhaya tha
Mulke Shaam mein ab tak sabke mounh pe taale hain
Kufr tere ghar wale kaise mounh chhupaayenge
Mustafa ki aamad ke har taraf ujale hain
Jis makaam par Asgar jang ladne aaye the
Maut ko wahan ab bhi zindagi ke laale hain