हश्र में जन्नत का जब मुजदा सुनाया जाएगा
हर हुसैनी पर मेरे आका को प्यार आ जाएगा
मुश्किलें पड़ जाएंगी मुश्किल में उसके दोस्तों
जिसके लब पर हजरते हैदर का नाम आ जाएगा
बुग्ज़ है जिसको मोहम्मद मुस्तफा की आल से
उस यजीदी शख्स को दोजख में डाला जाएगा
हश्र में होगी अज़ीज़ो करबला वालो की धूम
फिर अली के लाल का नारा लगाया जाएगा
सर झुकाए बा अदब होंगे मलायक भी खड़े
फातिमा जहरा को जब जन्नत भिजाया जाएगा
क्या अजब होगा समा फारुख तुझ को देखकर
के ऐ सगे गोस उल वरा कहकर बुलाया जाएगा
नात खान
इस्तियाक रहबर रजवी
Hashr mein jannat ka jab mujda sunaya jaayega
Har Husaini par mere Aaqa ko pyaar aa jaayega
Mushkilein parh jaayengi mushkil mein uske doston
Jiske lab par Hazrat e Haider ka naam aa jaayega
Bugz hai jisko Muhammad Mustafa ki Aal se
Us Yazidi shakhs ko Dozakh mein daala jaayega
Hashr mein hogi azeezon Karbala walo ki dhoom
Phir Ali ke laal ka naara lagaya jaayega
Sar jhukae ba adab honge malayik bhi kharay
Fatima Zahra ko jab jannat bhijaya jaayega
Kya ajab hoga sama Farooq tujh ko dekh kar
Ke ae sage Ghaus ul Wara keh kar bulaya jaayega
Naat Khwan:
Istyak Rahbar Rizvi