WhatsApp logo Join Naat Group

दिल की ये आरज़ू है सरकार आते जाते / Dil ki ye arzu hai sarkar aate jaate

दिल की ये आरज़ू है सरकार आते जाते
में आप को सुनाऊँ अशआर आते जाते

उठ कर अभी हैं आए फिर दोड़ जा रहे हैं
थकते नहीं हैं आशिक़ सो बार आते जाते

दिल की ये आरज़ू है सरकार आते जाते
में आप को सुनाऊँ अशआर आते जाते

ऐं काश मेरा होता छोटा सा घर वहीं पर
में सूब्हो-शाम करता दीदार आते जाते

हसरत यही है सर पर दस्ते-शिफ़ा वो रखते
हो जाऊं जब वहाँ में बीमार आते जाते

जिस रास्ते से होकर हज़रत उमर गुज़र ते
उस रह पे कांप ते थे कुफ़्फ़ार आते जाते

जाएगा जो भी मिलने एक बार मुसतफ़ा से
उस को अली मिलेंगे दौ बार आते जाते

हर गिज़ ना याद आए फिर उसको मन्नों-सलवा
तैबा में जो भी करले इफ्तार आते जाते

Dil ki ye arzu hai sarkar aate jaate
Main aap ko sunaoon ash’ar aate jaate

Uth kar abhi hain aaye phir daud ja rahe hain
Thakte nahi hain aashiq so baar aate jaate

Dil ki ye arzu hai sarkar aate jaate
Main aap ko sunaoon ash’ar aate jaate

Ain kaash mera hota chhota sa ghar wahiin par
Main subho-shaam karta deedar aate jaate

Hasrat yehi hai sar par dast-e-shifa wo rakhte
Ho jaoon jab wahan main bimaar aate jaate

Jis raaste se hokar Hazrat Umar guzarte
Us rah pe kaampte the kufaar aate jaate

Jaayega jo bhi milne ek baar Mustafa se
Us ko Ali milenge do baar aate jaate

Har giz na yaad aaye phir usko manno-salwa
Taiba mein jo bhi karle iftar aate jaate