दर बदर क्यूॅं फिरें लाचार कहीं क्यूँ जाएं
जब खुला है दरे सरकार कहीं क्यूॅं जाएं
दोनों आलम के शहशाह जहाॅं लेटे हैं
वो मदीने में है दरबार कहीं क्यूॅं जाएं
देखते हो जो जमाले रुखे़ महबूबे ख़ुदा
देखने मिस्र का बाजार कहीं क्यूॅं जाएं
आपकी दीद है सिद्दीक़ को सबसे प्यारी
छोड़के आपका दीदार कहीं क्यूॅं जाएं
बू हुरैरा हों के वो ज़ैद हों या हो वो बिलाल
जिनको आका़ का मिले प्यार कहीं क्यूॅं जाएं
जिनको मा लूम है जन्नत के हैं मालिक आका़
बन के जन्नत के ख़रीदार कहीं क्यूॅं जाएं
भीक उस दर की ह़या दार बना देती है
उनके मंगते तो हैं खु़द्दार कहीं क्यूॅं जाएं
वापसी के लिएं ताहिर जो मदीने में कहा
कर दिया दिल ने ये इनकार कहीं क्यूॅं जाएं
Dar Badar Kyun Phirein Lachaaar Kahin Kyun Jaayein
Jab Khula Hai Dar-e-Sarkaar, Kahin Kyun Jaayein
Dono Alam Ke Shahshaah Jahan Lete Hain
Woh Madine Mein Hai Darbaar, Kahin Kyun Jaayein
Dekhte Ho Jo Jamale Rukh-e-Mahboobe Khuda
Dekhne Misr Ka Bazaar, Kahin Kyun Jaayein
Aapki Deed Hai Siddiq Ko Sabse Pyaari
Chhodke Aapka Deedaar, Kahin Kyun Jaayein
Boo Huraira Ho Ke Woh Zaid Ho Ya Ho Woh Bilal
Jinko Aka Ka Mile Pyaar, Kahin Kyun Jaayein
Jinko Maloom Hai Jannat Ke Hain Maalik Aka
Ban Ke Jannat Ke Khareedar, Kahin Kyun Jaayein
Bheek Us Dar Ki Haya Daar Bana Deti Hai
Unke Mangte To Hain Khuddaar, Kahin Kyun Jaayein
Wapsi Ke Liye Tahir Jo Madine Mein Kaha
Kar Diya Dil Ne Ye Inkaar, Kahin Kyun Jaayein