Bulawa aa gaya mera Madine ja raha hun main / बुलावा आ गया मेरा मदीने जा रहा हूँ मैं

बुलावा आ गया मेरा मदीने जो रहा हूँ मैं
सुनने हाल इस दिल का मदीने जा रहा हूं मैं

मेरी आंखों की बीनाई का मकसद हो गया पूरा
नबी का देखने रौजा़ मदीने जा रहा हूं मैं

दुरूदे पाक का नग़्मा है लब पर और निगाहों में
बसाए गुंबदे खज़रा मदीने जा रहा हूं मैं

ज़माने वाले कहते थे किसी लायक़ नहीं हूं मैं
मगर अबरे करम बरस मदीने जा रहा हूं मैं

वो जिन गलियों में खेले हैं नवासे मेरे आका के
उन्हीं का देखना जल्वा मदीना जा रहा हूं मैं

मदीने का सफ़र सब का मुक़द्दर में नहीं होता
खुदा का फ़ज़्ल है इतना मदीने जा रहा हूं मैं

मुझे तड़पने लगती है जुदाई आप के दर की
कोई कहता है जब आका़ मदीने जा रहा हूं मैं

गुनाहों की स्याही चेहरे से जाहिर ना हो जाए
भरम रखना मेरे मौला मदीने जा रहा हूं मैं

दुआ करना कि मेरी हाजिरी मक़बूल हो जाए
अदब बाकी रहे मेरा मदीना जा रहा हूं मैं

Bulawa aa gaya mera Madine ja raha hun main
Sunne haal is dil ka Madine ja raha hun main

Meri aankhon ki beenaayi ka maqsad ho gaya poora
Nabi ka dekhne rauza Madine ja raha hun main

Duroode Paak ka nagma hai lab par aur nigahon mein
Basaye gumbade khizra Madine ja raha hun main

Zamane wale kehte the kisi laayak nahi hun main
Magar abre karam bars Madine ja raha hun main

Woh jin galiyon mein khele hain nawase mere aaka ke
Unhi ka dekhna jalwa Madina ja raha hun main

Madine ka safar sab ka muqaddar mein nahi hota
Khuda ka fazl hai itna Madine ja raha hun main

Mujhe tadapne lagti hai judaayi aap ke dar ki
Koi kehta hai jab aaka Madine ja raha hun main

Gunahoon ki siyahi chehre se zahir na ho jaye
Bharam rakhna mere maula Madine ja raha hun main

Dua karna ki meri haazri maqbool ho jaye
Adab baaki rahe mera Madina ja raha hoon main