भूखा भी रहा प्यासा भी रहा घर बार अ़ली के बेटों का
फिर भी था यज़ीदी बैयत से इनकार अ़ली के बेटों का
कहता है यही हर एक आ़शिक़ बीमार अ़ली के बेटों का
दिखला दे मुझे ऐ मेरे खु़दा दरबार अ़ली के बेटों का
बू बकरो उ़मर उस्मानो अ़ली ता ज़ीम के लाइक़ हैं ये सभी
आशिक़ हूॅं सहाबा का दिल में है प्यार अली के बेटों का
इस्लाम की खा़तिर कर्बल में घर बार भी अपना वार दिया
ता ह़श्र करेंगे याद सभी एसार अली के बेटों का
करते हैं जहाॅं वाले नफ़रत हर एक यज़ीदी से लेकिन
रखता है अक़ीदत सीने में संसार अ़ली के बेटों का
मंज़ूर खुदा ए पाक को था कुछ और ही वरना ऐ दानिश
सह पाते यज़ीदी कुत्ते ना एक वार अ़ली के बेटों का
Bhookha bhi raha pyaasa bhi raha ghar baar Ali ke beto ka
Phir bhi tha Yazidi bay’at se inkaar Ali ke beto ka
Kehta hai yeh har ek aashiq, beemaar Ali ke beto ka
Dikhla de mujhe, ai mere Khuda, darbaar Ali ke beto ka
Boo bakro Umar Usmano Ali ta zeem ke laayiq hain ye sabhi
Aashiq hoon Sahaba ka, dil mein hai pyaar Ali ke beto ka
Islam ki khaatir Karbala mein ghar baar bhi apna maar diya
Ta Hashr karenge yaad sabhi, isaar Ali ke beto ka
Karte hain jaha wale nafrat har ek Yazidi se lekin
Rakhta hai aqeedat seene mein, sansaar Ali ke beto ka
Manzoor Khuda e paak ko tha kuch aur hi, warna ai Danish
Sah paate Yazidi kutte na ek war Ali ke beto ka