बसा के दिल में मदीना क़दम बढ़ाते चलो
सफ़र में नाते शहेश्रदीं भी गुन गुनाते चलो
क़दम क़दम पे मुह़ब्बत के गुल खिलाते चलो
वफा की राह में तन्हा भी मुस्कुराते चलो
कि जो रज़ा की मुहब्बत के नक़्श वाले हैं
कि अपने लोग हैं इनको गले लगाते चलो
ये बारगाहे मुजाहिद है ठहरते गुज़रो
अकी़दतों का ये रिश्ता ज़रा निभाते चलो
Basa ke dil mein Madina qadam badhate chalo
Safar mein naate Shaheshradin bhi gun gunate chalo
Qadam qadam pe mohabbat ke gul khilate chalo
Wafa ki raah mein tanha bhi muskurate chalo
Ke jo raza ki mohabbat ke naqsh wale hain
Ke apne log hain inko gale lagate chalo
Ye Bargah-e-Mujahid hai, thaharte guzro
Aqeedaton ka ye rishta zara nibhaate chalo