WhatsApp logo Join Naat Group

Badi hi khauf ki lahre thi be kaaron ke jhurmut mein / बड़ी ही ख़ौफ़ की लहरें थी बे कारों के झुरमुट में

बड़ी ही ख़ौफ़ की लहरें थी बे कारों के झुरमुट में
बड़ी बेचैनियां थीं हम सिनाकारो के झुरमुट में
तसल्ली आ गई उस दम ख़ताकारो के झुरमुट में
वो: यूं तशरीफ लाए हम गुनहगारों के झुरमुट में
मसीहा जैसे आ जाता है बीमारो के झुरमुट में

अजब दौरे-जिहालत है अजब ये दौरे नफरत है
बड़ी सहमी हुई सी हक़ परस्तों की ज़माअत हैं
बड़े ज़ालिम है हाकिम और बड़ी ज़ालिम हुकूमत है
हुसैन इब्ने-अली की आज भी हमको ज़रूरत है
घिरा है आज भी इस्लाम खूंखारो के झुरमुट में

नज़र आती नहीं है कोई सूरत हमको राहत की
बहुत झुलसा रही है जिस्म को गर्मी क़यामत की
सरो पर तान दीजिए अब तो चादर अपनी रहमत की
मदद फरमाइये आक़ा परेशां हाल उम्मत की
के शोरे अलमदद बरपा है बे चारों के झुरमुट में

जिन्हें बश्शम्स कु़रआं कह रहा है हां वो शाहे-दीन
वो जिनकी ज़ुल्फ ए वल्लैल हैं जो धूप में तसकीन
उन्हीं का हुस्ने दिल आरा उन्हीं का हुस्न है नमकीन
उन्हीं का अक्स रुख जलवा फिगन है वरना ऐं तहसीन
चमक ऐसी कहा से आ गई तारों के झुरमुट में

Badi hi khauf ki lahre thi be kaaron ke jhurmut mein
Badi bechainiyan thi hum sinaakaro ke jhurmut mein
Tasalli aa gayi us dam khataaro ke jhurmut mein
Woh: Yun tashreef laaye hum gunahgaaron ke jhurmut mein
Masiha jaise aa jaata hai bimaaro ke jhurmut mein

Ajab daura-e-jahalaat hai ajab ye daura-e-nafrat hai
Badi sahmi hui si haq paraston ki jamaat hai
Bade zalim hai hakim aur badi zalim hukoomat hai
Hussain ibn Ali ki aaj bhi humko zarurat hai
Gira hai aaj bhi Islam khoonkhaaroon ke jhurmut mein

Nazir aati nahi hai koi soorat humko raahat ki
Bahut jhulsaa rahi hai jism ko garmi qiyamat ki
Saropar taan dijiye ab to chaadar apni rahmat ki
Madad farmaiye aaqa pareshan haal ummat ki
Ke shore alamdad barpa hai bechaaaro ke jhurmut mein

Jinhein bashshams quraan keh raha hai haan woh shahe-deen
Woh jinki zulfe vallail hain jo dhoop mein taskeen
Unhi ka husne dil aara unhi ka husn hai namkeen
Unhi ka aks rukh jalwa figan hai warna ain tahseen
Chamak aisi kaha se aa gayi taaron ke jhurmut mein