WhatsApp logo Join Naat Group

Ai Ibne Ali teri himmat kya zulm saha hai Karbal mein / ऐ इब्ने अ़ली तेरी हिम्मत क्या ज़ुल्म सहा है कर्बल में

ऐ इब्ने अ़ली तेरी हिम्मत क्या ज़ुल्म सहा है कर्बल में
शिकवा ना किया जब के सारा घर बार लुटा है कर्बल में

अकबर की जवानी क़ुरवां की अब्बास के बाज़ू कटवाए
जो दीने नबी ने मांगा था बढ़ बढ़ के दिया है कर्बल में

ये इब्ने अ़ली की हिम्मत थी वरना तो एक क़यामत थी
मत पूछ वो: लम्हा असग़र का जब खून बहा है कर्बला में

क़ुरआं की तिलावत लव पर है और सब्र शुक्र के सजदे हैं
किस शान से दिल के ज़ख्मों को हंस-हंस के सिया है कर्बल में

आज़ाद ना क्यूं हो दोज़ख से हम क्यूं ना करें हु़र के चर्चे
सब अहले-जफा है कर्बल में हु़र अहले वफा है कर्बल में

पत्थर की लकीरें है सारी हर ज़ुल्म के ऊपर है भारी
हां खून से आले अह़मद ने जो कुछ भी लिखा है कर्बल में

सर देना पड़ा घर देना पड़ा ये बात अलग लेकिन ताहिर
हर एक यज़ीदी मंसूबा मिट्टी में मिला है कर्बल मे

Ai Ibne Ali teri himmat kya zulm saha hai Karbal mein
Shikwa na kiya jab ke saara ghar-baar luta hai Karbal mein

Akbar ki jawani, Qurbaan ki Abbas ke baazu katwaaye
Jo deen-e-Nabi ne maanga tha, badh-badh ke diya hai Karbal mein

Yeh Ibne Ali ki himmat thi, warna to ek qayamat thi
Mat pooch woh lamha Asghar ka jab khoon baha hai Karbal mein

Quran ki tilawat, lab par hai aur sabr, shukr ke sajde hain
Kis shaan se dil ke zakhmo ko hans-hans ke siya hai Karbal mein

Azaad na kyun ho dozak se, hum kyun na karein Hur ke charchay
Sab Ahle-Jafa hai Karbal mein, Hur Ahle-Wafa hai Karbal mein

Patthar ki lakeeren hain saari, har zulm ke upar hai bhaari
Haan khoon se Aale-Ahmad ne jo kuch bhi likha hai Karbal mein

Sar dena pada, ghar dena pada, yeh baat alag lekin Tahir
Har ek Yazidi mansuba mitti mein mila hai Karbal mein