आशिक़े मुस्तफा़ जिसकी पहचान है
वो बरेली का अहमद रजा़ खा़न है
जिस पे आशिक़ नही इश्क कु़र्बान है
वो बरेली का अहमद रजा़ खान है
दिल को जिसने हमारे मुअ़त्तर किया
इश्क़े सरकार दिल में उजागर किया
अहले सुन्नत पे जिसका ये एहसान है
वो बरेली का अहमद रजा़ खान है
अहले सुन्नत की जो खा़स पहचान है
वो बरेली का अहमद रजा़ खान है
नज्दियत के लिए एक तूफान है
वो बरेली का अह़मद रजा़ खाना
सदक़े अहमद रजा़ के यही है दुआ
हम रहें इश्क़े सरकार में मुब्तला
जिसका हर सम्त अजुम ये फैजा़न है
वो बरेली का अहमद रजा़ खान है
Aashiq e Mustafa jiski pehchaan hai
Woh Bareli ka Ahmad Raza Khan hai
Jis pe aashiq nahi, ishq qurbaan hai
Woh Bareli ka Ahmad Raza Khan hai
Dil ko jisne humare mu’attar kiya
Ishqe Sarkaar dil mein ujagar kiya
Ahl-e-Sunnat pe jiska yeh ehsaaan hai
Woh Bareli ka Ahmad Raza Khan hai
Ahl-e-Sunnat ki jo khaas pehchaan hai
Woh Bareli ka Ahmad Raza Khan hai
Najdiyat ke liye ek toofan hai
Woh Bareli ka Ahmad Raza Khan hai
Sadaqay Ahmad Raza ke yeh hai dua
Hum rahein Ishqe Sarkaar mein mubtala
Jiska har simt ajum yeh faizaan hai
Woh Bareli ka Ahmad Raza Khan hai