दोस्ती निभाते हैं ये ख़ता नहीं करते
हम हुसैन वाले हैं हम दग़ा नहीं करते
जिनके ख़ून में खू़ने मुस्त़फा़ की खुशबू है
वो सितम के बदले भी बद्दुआ़ नहीं करते
ज़िक्रे शाहे सरवर ने कर दिया है आईना
ऐसे वैसे अब मेरा सामना नहीं करते
ह़श्र में श़फ़ाअ़त की किस से भीख मांगेंगे
जो यहां कभी ज़िक्रे कर्बला नहीं करते
Dosti nibhaate hain ye khata nahi karte
Hum Hussain waale hain, hum dagha nahi karte
Jinke khoon mein khoone Mustafa ki khushboo hai
Woh sitam ke badle bhi baddua nahi karte
Zikre Shahe Sarwar ne kar diya hai aaina
Aise waise ab mera saamna nahi karte
Hashr mein shafaat ki kis se bheekh maangein ge
Jo yahan kabhi zikre Karbala nahi karte