WhatsApp logo Join Naat Group

छाई एसी मदहोशी के घर का ठिकाना भूल ग / Chhayi aisi madhoshi ke ghar ka thikana bhool gaye

छाई एसी मदहोशी के घर का ठिकाना भूल गए
गुंबदों खज़रा देखने वाले सारा ज़माना भूल गए

रब ही जाने कैसी कशिश है तैबा नगर की गलियों में
सहरा मदीना जाने वाले लौट के आना भूल गए

तुम ही बताओ दुनिया वालों उनको नमाजी़ कैसे कहू
सर तो झुकाया सजदे में जो दिल का झुकाना भूल गए

इतना नवाज़ दीवानों को दोनों जहां के आका ने
हीरे मोती ताज हुकूमत सारा खजाना भूल गए

तुम तो राजा़ के शहदाई हो फिर क्यों तुम तो खामोश रहे
इश्के मोहब्बत आला हजरत नारा लगाना भूल गए

उनके हुए जब हारुनी तो दुनियादारी छूट गए
जब से मिला सरकार का दर हम दर दर जाना भूल गए

Chhayi aisi madhoshi ke ghar ka thikana bhool gaye
Gumbadon khazra dekhne wale saara zamaana bhool gaye

Rab hi jaane kaisi kashish hai Taiba nagar ki galiyon mein
Sahara Madina jaane wale laut ke aana bhool gaye

Tum hi batao duniya walon unko namazi kaise kahoon
Sar to jhukaaya sajde mein jo dil ka jhukaana bhool gaye

Itna nawaz diiwanon ko dono jahan ke aaka ne
Heere moti taaj hukoomat saara khazana bhool gaye

Tum to raja ke shahdai ho phir kyun tum to khaamosh rahe
Ishq-e-mohabbat Aala Hazrat naara lagana bhool gaye

Unke hue jab Haruni to duniya daari chhoot gayi
Jab se mila Sarkaar ka dar, hum dar dar jaana bhool gaye