जिसपे आक़ा का नक़्श ए पा होता
मेरा सीना वो रास्ता होता
खाते होते मेरे हुज़ूर ख़जूर
और गुटलियाँ मै समेट ता होता
जिसपे आक़ा का नक़्श ए पा होता
मेरा सीना वो रास्ता होता
आ रहे होते लेट ने को हुज़ूर
मैं चटाई बिछा रहा होता
मुँह धुला ता मैं सूब्ह ए दम उनका
और शाम को पाऊं दाब्ता होता
पैड़ को देखता मैं चलते हुए
जब इशारा हुज़ूर का होता
मुस्तफा मुस्कुरा रहे होते
चांद क़दमों को चूमता होता
न अत हस्सान पड़ रहे होते
मेरे होठों पे मरहबा होता
मुझसे कहते वो मेरी न अत पड़ो
काश ऐसा कभी हुआ होता
मेरी आँखों पे नाज़ करते मलक
जब मैं आक़ा को देखता होता
मेरे सीने पे हाथ रख्ते वो
जब मेरा दिल तड़प रहा होता
उस घड़ी मौत मुझको आजाती
वक़्त जब भी जूदाई का होता
काश इमामत मेरे नबी करते
जब जनाज़ा मेरा पड़ा होता
उनकी मिलाद है वजह वरना
कोई पैदा नही हुआ होता
जिसपे आक़ा का नक़्श ए पा होता
मेरा सीना वो रास्ता होता
उनको केहता कभी न अपनी तरह
आइना तू जो देख ता होता
Jispe Aaqa ka naqsh e pa hota
Mera seena wo raasta hota
Khaate hote mere huzoor khajoor
Aur gutliyan main samet-ta hota
Jispe Aaqa ka naqsh-e-pa hota
Mera seena wo raasta hota
Aa rahe hote let ne ko huzoor
Main chatai bichha raha hota
Munh dhulta main subah-e-dam unka
Aur shaam ko paon dabta hota
Paed ko dekhta main chalte hue
Jab ishaara huzoor ka hota
Mustafa muskuraye hote
Chaand qadmo ko choomta hota
Na at Hassan padh rahe hote
Mere hothon pe marhaba hota
Mujhse kehte wo meri na at pado
Kaash aisa kabhi hua hota
Meri aankhon pe naaz karte malak
Jab main Aaqa ko dekhta hota
Mere seene pe haath rakhte wo
Jab mera dil tadap raha hota
Us ghadi maut mujhko aajati
Waqt jab bhi judai ka hota
Kaash Imaamat mere Nabi karte
Jab janaaza mera pada hota
Unki milad hai wajah warna
Koi paida nahi hua hota
Jispe Aaqa ka naqsh-e-pa hota
Mera seena wo raasta hota
Unko kehta kabhi na apni tarah
Aaina tu jo dekh ta hota