WhatsApp logo Join Naat Group

Unki jaali woh samaan aur woh roza unka / उनकी जाली वो समाँ और वो रौज़ा उनका

उनकी जाली वो समाँ और वो रौज़ा उनका
कितना पुर नूर है वल्लाह वो कूचा उनका

देख कर गुंबद ए ख़ज़रा वो धड़कना दिल का
याद आता है मुझे रोज़ मदीना उन का

उनकी जाली वो समाँ और वो रौज़ा उनका
कितना पुरनूर है वल्लाह वो कूचा उनका

हैं अबू बक्र ओ उमर और ग़नी मौला अली
बीच में चारों के बैठा है वो आक़ा उन का

रौज़ा ए सय्यदा ज़हरा से जो देखा मैं ने
आज तक क़ैद है आँखों में नज़ारा उन का

हो गया नूर से मामूर ज़माना सारा
ऐसा चमका था शब ए नूर वो चेहरा उनका

दो ही लफ़्ज़ों में बदल डाली उमर की दुनिया
कितना मीठा था ख़ुदा जाने वो लहजा उनका

हश्र में आक़ा को मुँह कैसे दिखाएगा ज़लील
मुँह छुपा लेगा सर ए हश्र कमीना उन का

हूँ गुनहगार मगर फिर भी भरोसा है मुझे
बख़्शवा लेगा मुझे हश्र में सज्दा उन का

सय्यदा ही ने तो पाला है शबाहत को जनाब
उन के ही नाम से मशहूर है बेटा उन का

Unki jaali woh samaan aur woh roza unka
Kitna pur noor hai wallah woh koocha unka

Dekh kar gumbad-e-khazra woh dhadakna dil ka
Yaad aata hai mujhe roz Madina unka

Unki jaali woh samaan aur woh roza unka
Kitna pur noor hai wallah woh koocha unka

Hain Abu Bakr o Umar aur Ghani Maula Ali
Beech mein chaaron ke baitha hai woh aaqa unka

Roza-e-Sayyida Zahra se jo dekha maine
Aaj tak qaid hai aankhon mein nazara unka

Ho gaya noor se mamoor zamaana saara
Aisa chamka tha shab-e-noor woh chehra unka

Do hi lafzon mein badal daali umar ki duniya
Kitna meetha tha Khuda jaane woh lahja unka

Hashr mein aaqa ko muhn kaise dikhayega zaleel
Muh chhupa lega sar-e-hashr kameena unka

Hoon gunahgaar magar phir bhi bharosa hai mujhe
Bakhshwa lega mujhe hashr mein sajda unka

Sayyida hi ne to paala hai shahadat ko janab
Unke hi naam se mashhoor hai beta unka