सर पे नालैन आपके होते
और तैबा में हम खड़े होते
जिनमें खुशबू बसी है आक़ा की
वो दर ओबाम चूम ते होते
सर पे नालैन आपके होते
और तैबा में हम खड़े होते
जिनमें खुशबू बसी है आक़ा की
वो दर ओबाम चूम ते होते
करते ख़िदमत सगान ए तैबा की
हम भी तक़दीर के बड़े होते
मौत आ जाती उनकी चौखट पर
मुझ पे जन्नत में तब्सिरे होते
दफ़न होता मैं उनके रस्ते में
काश वो पाऊं रख दिये होते
फिर तो महशर में मेरे सीने पर
नक़्श ए पा आप के होते
सख़्ती ए हश्र का करूं शिकवा
वो: भी सरकार आप के होते
प्यास से मैं तड़प रहा होता
आप कौसर पिला रहे होते
आप तशरीफ़ रखते मीज़ां पर
फ़िर ग़ुलामों के फ़ैसले होते
काश दौर ए हुसैन मिल जाता
साथ में कर्बला गए होते
हूरमाला फिर वहीं पे मर जाता
खुल के असग़र अगर हसे होते
हम को तेग़ ए रज़ा जो मिल जाती
बद अकीदों को काटते होते
Sar pe naalain aapke hote
Aur Taiba mein hum khade hote
Jinmein khushboo basi hai Aaqa ki
Woh dar-o-bam choomte hote
Sar pe naalain aapke hote
Aur Taiba mein hum khade hote
Jinmein khushboo basi hai Aaqa ki
Woh dar-o-bam choomte hote
Karte khidmat sagan-e-Taiba ki
Hum bhi taqdeer ke bade hote
Maut aa jaati unki chaukhat par
Mujh pe Jannat mein tabsire hote
Dafan hota main unke raste mein
Kaash woh paon rakh diye hote
Phir to Mahshar mein mere seene par
Naqsh-e-paa aap ke hote
Sakhtee-e-Hashr ka karun shikwa
Woh bhi Sarkaar aap ke hote
Pyaas se main tadap raha hota
Aap Kausar pila rahe hote
Aap tashreef rakhte Meezan par
Phir ghulaamon ke faisle hote
Kaash daur-e-Hussain mil jaata
Saath mein Karbala gaye hote
Hurmala phir wahan pe mar jaata
Khul ke Asgar agar hase hote
Hum ko tegh-e-Raza jo mil jaati
Bad-akeedon ko kaat-te hote