जिधर देखो जहां देखो उजाला मुस्तफा का है
जमीं से आसमां तक हर नज़ारा मुस्तफा का है
हमें परवाह नहीं कोई हमें मालूम है यह भी
खफा सारा ज़माना है सहारा मुस्तफा का है
जिधर देखो जहां देखो उजाला मुस्तफा का है
जमीं से आसमां तक हर नज़ारा मुस्तफा का है
हमारा दिल हमारी जां हमारी सांस और आँखें
हमारे पास जो कुछ हैं यह सारा मुस्तफा का है
अरब में जा के जिसने नजदियों का हौसला तोड़ा
मुजाहिद नाम उसका है दीवाना मुस्तफा का है
अली के वास्ते सहबा में सूरज डूब कर वापस
पलट कर क्यूँ ना आजाए इशारा मुस्तफा का है
जिसे दुन्या समझती थी दीवाना अपनी नज़रों में
मगर दीवाना वो बहलूल दाना मुस्तफा का है
कटा कर सर किया जिसने खुदा के दीन को जिंदा
अली का लाडला है वो नवासा मुस्तफा का है
जो गुस्ताख ए नबी है देखना दौज़ख में जाएंगे
वही जन्नत में जाएगा जौ शैदा मुस्तफा का है
Jidhar dekho jahan dekho ujala Mustafa ka hai
Zameen se aasman tak, har nazara Mustafa ka hai
Humein parwah nahi koi, humein maloom hai yeh bhi
Khafa saara zamana hai, sahara Mustafa ka hai
Jidhar dekho, jahan dekho, ujala Mustafa ka hai
Zameen se aasman tak, har nazara Mustafa ka hai
Humara dil, humari jaan, humari saans aur aankhein
Humare paas jo kuch hain, yeh saara Mustafa ka hai
Arab mein ja ke, jisne Najdiyon ka hausla toda
Mujaahid naam uska hai, deewana Mustafa ka hai
Ali ke vaaste, Sahba mein, sooraj doob kar wapas
Palat kar kyun na aajaye, ishaara Mustafa ka hai
Jise duniya samajhti thi deewana apni nazron mein
Magar deewana woh Bahlool Daana Mustafa ka hai
Kata kar sar kiya, jisne Khuda ke deen ko zinda
Ali ka laadla hai woh nawasa Mustafa ka hai
Jo gushtakh-e-Nabi hai, dekhna dozak mein jayenge
Wahi jannat mein jayega jo shaida Mustafa ka hai