फसाहत नाज़ करती है
बलागत नाज़ करती है
लब ए सरकार पर शीरी
लताफ़त नाज़ करती है
सज़ा के वक्त चेहरा देखना
आदात नही उनकी
उमर फारूक पर अब भी
अदालत नाज़ करती है
फसाहत नाज़ करती है
बलागत नाज़ करती है.
सर ए नेज़ा कभी क़ुरआन
कोई पढ़ नहीं सकता
अली के लाडले तुम पर
तिलावत नाज़ करती है
खड़े हैं अंबिया अक़सा में
पीछे मुस्तफा आगे
इमामत पर नबी की कुल
इमामत नाज़ करती है
तुम्हारे हिस्से में आक़ा की
दो दो बेटियां आईं
ऐं उस्मान ए गनी तुम पर
तो क़िस्मत नाज़ करती है
तुम्हारा मर्तबा दुनिया की
हर औरत से अफ़ज़ल है
नबी की लाडली तुम पर
तहारत नाज़ करती है
नबी के नाम पर हर ज़ुल्म
सहना है तुम्हे मंजूर
बिलाल ए बा वफ़ा तुम पर
मुहब्बत नाज़ करती है
पढ़ाने के लिएं खुद का
जनाज़ा ख़ुद चले आए
मेरे साबिर पिया तुम पर
विलायत नाज़ करती है
रज़ा का हर कलाम इतना
हुआ मक़बूल आलम में
रज़ा की शायरी पर सारी
खिलकत नाज़ करती है
मेरे अख्तर हैं इतने खूबसूरत
आज तक उन पर
फलक के चांद तारों की
जमाअत नाज़ करती है
खड़ी है रेल गाड़ी सजदे
जारी है मुजाहिद के
मुजाहिद की इबादत पर
इबादत नाज़ करती है
मुजाहिद के नवासे का
अलग अंदाज़ रहता है
मुजाहिद के नवासे पर
शराफ़त नाज़ करती है
मुझे जो कुछ मिला मां की
दुआ-ओ से मिला हस्सान
मेरी मां की दुआ ओ पर
यह बरकत नाज़ करी है
Fasahat naaz karti hai
Balagat naaz karti hai
Lab-e-sarkar par sheeri
Lataafat naaz karti hai
Saza ke waqt chehra dekhna
Aadat nahi unki
Umar Farooq par ab bhi
Adalat naaz karti hai
Fasahat naaz karti hai
Balagat naaz karti hai
Sar-e-nezah kabhi Qur’an
Koi padh nahi sakta
Ali ke ladle tum par
Tilawat naaz karti hai
Khade hain Ambiya Aqsa mein
Peeche Mustafa aage
Imamat par Nabi ki kul
Imamat naaz karti hai
Tumhare hisse mein Aqa ki
Do do betiyan aayi
Ai Usman-e-Ghani tum par
To qismat naaz karti hai
Tumhara martaba duniya ki
Har aurat se afzal hai
Nabi ki ladli tum par
Tahrat naaz karti hai
Nabi ke naam par har zulm
Sehna hai tumhe manzoor
Bilal-e-Bawafa tum par
Muhabbat naaz karti hai
Padhane ke liye khud ka
Janaza khud chale aaye
Mere Sabir Piya tum par
Wilayat naaz karti hai
Raza ka har kalaam itna
Hua maqbool aalam mein
Raza ki shayari par saari
Khilqat naaz karti hai
Mere Akhtar hain itne khoobsurat
Aaj tak un par
Falak ke chand taaron ki
Jamaat naaz karti hai
Khadi hai rail gaadi sajde
Jaari hai Mujahid ke
Mujahid ki ibadat par
Ibadat naaz karti hai
Mujahid ke nawase ka
Alag andaaz rehta hai
Mujahid ke nawase par
Sharafat naaz karti hai
Mujhe jo kuch mila maa ki
Duaon se mila Hassan
Meri maa ki duaon par
Yeh barkat naaz kari hai