यक़ीन है मेरी क़िस्मत जगाएंगे आक़ा
मुझे भी शहरे मदीना बुलाएंगे आक़ा
हमेशा रात में ये सोच कर दुरुद पढ़ो
कभी तो ख़्वाब में जलवा दिखाएंगे आक़ा
यक़ीन है मेरी क़िस्मत जगाएंगे आक़ा
मिलेगी ईद से बढ़कर मुझे ख़ुशी उस दिन
लहद में जिस घड़ी तशरीफ लाएंगे आक़ा
यक़ीन है मेरी क़िस्मत जगाएंगे आक़ा
कहां किधर हो चले आओ आज महफ़िल में
हसन हुसैन का सदक़ा लुटाएंगे आक़ा
यक़ीन है मेरी क़िस्मत जगाएंगे आक़ा
बचा के नारे जहन्नम से हश्र में बेशक
गुनाह गारो को जन्नत दिलाएंगे आक़ा
यक़ीन है मेरी क़िस्मत जगाएंगे आक़ा
सहारा जब न कोई होगा हश्र में अज़मत
तो मुझसे आसी को अपना बनाएंगे आक़ा
Yaqeen hai meri qismat jagaenge Aaqa
Mujhe bhi sheher-e-Madina bulaenge Aaqa
Hamesha raat mein ye soch kar durood padho
Kabhi to khwaab mein jalwa dikhayeinge Aaqa
Yaqeen hai meri qismat jagaenge Aaqa
Milegi Eid se barhkar mujhe khushi us din
Lahd mein jis ghadi tashreef laayenge Aaqa
Yaqeen hai meri qismat jagaenge Aaqa
Kahan kidhar ho chale aao aaj mehfil mein
Hasan Hussain ka sadqa lutaenge Aaqa
Yaqeen hai meri qismat jagaenge Aaqa
Bacha ke naare Jahannum se Hashr mein beshak
Gunahgaro ko Jannat dilayenge Aaqa
Yaqeen hai meri qismat jagaenge Aaqa
Sahaara jab na koi hoga Hashr mein azmat
To mujhse aasi ko apna banayenge Aaqa