WhatsApp logo Join Naat Group

Mere hazoor se jo pyaar karne wale hain / मेरे हज़ूर से जो प्यार करने वाले हैं

मेरे हज़ूर से जो प्यार करने वाले हैं,
वो आसमान को छू कर गुज़रना वाले हैं

फरिश्ते बोले क़यामत ना आज आ जाए
हुसैन जंग में ख़ुद ही गुजरना वाले हैं

चलो कि चलते हैं दरबारे-ग़ौस की जानिब
वो हम फ़क़ीरों के दामन को भरने वाले हैं

यहा तो रहते हैं ख़्वाजा की हम हुकूमत में
कहां ज़माने से हम लोग डरने वाले हैं

बरेली शहर का डडा दिखाइए उनको
वहाबी ऐसे भला कब सुधरने वाले हैं

ख़ुदा की रहमतें मिलती हैं इसलिए हमको
कि हम तो ताजे शरीअ़त पे मरने वाले हैं

गुलामे गौस जो करते हैं खि़दमतें मां की
मुसीबतों से वो हंस कर गुज़रना वाले हैं

Mere hazoor se jo pyaar karne wale hain
Woh aasman ko chhoo kar guzarna wale hain.

Farishtay bole qayamat na aaj aa jaye,
Hussain jang mein khud hi guzarna wale hain.

Chalo ke chalte hain darbare-Ghaus ki jaanib,
Woh hum faqeeron ke daaman ko bharne wale hain.

Yahan to rehte hain Khwaja ki hum hukoomat mein,
Kahan zamaane se hum log darne wale hain.

Bareli shehar ka dada dikhaiye unko,
Wahabi aise bhala kab sudharne wale hain.

Khuda ki rehmatain milti hain isliye humko,
Ke hum to taaje shariat pe marne wale hain.

Ghulame Ghaus jo karte hain khidmatain maan ki,
Musibat se woh hans kar guzarna wale hain.