WhatsApp logo Join Naat Group

Ab meri nigahoon mein jachta nahi koi / अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई

अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
जैसे मेरे सरकार हैं ऐसा नहीं कोई

तुम सा तो हसीं आंख ने देखा नहीं कोई
ये शानेलताफ़त है कि साया नहीं कोई

एज़ाज़ ये हासिल है तो हासिल है जमीं को
अफ़्लाक पे तो गुम्बदे खज़रा नहीं कोई

दरमाने ग़म ओ दर्द शिफ़ा ए दिले बीमार
जुज़ आप के ए जाने मसीहा नहीं कोई

ए जर्फ़ ए नज़र देख मगर देख अदब से
सरकार का जल्वा हैतमाशा नहीं कोई

ये तूर से कहती है अभी तक शबे-मे’राज
दीदार की ताक़त हो तो पर्दा नहीं कोई

होता है जहा ज़िक्र मुहम्मद के करम का
उस बज्म में महरूमे तमन्ना नहीं कोई

सरकार की रह़मत ने मगर ख़ूब नवाज़ा
ये सच है कि ख़ालिद सा निकम्मा नहीं कोई

Ab meri nigahoon mein jachta nahi koi
Jaise mere sarkaar hain aisa nahi koi

Tum sa to haseen aankh ne dekha nahi koi
Yeh shaan-e-latafat hai ki saaya nahi koi

Ijaz yeh haasil hai to haasil hai zameen ko
Aflak pe to gumbad-e-Khizra nahi koi

Darmane gham-o-dard shifa-e-dil-e-beemaar
Juzz aap ke ae jaane Masiha nahi koi

Ae zarf-e-nazar dekh magar dekh adab se
Sarkaar ka jalwa hai tamasha nahi koi

Yeh Toor se kehti hai abhi tak shabe-Mi’raaj
Deedar ki taqat ho to parda nahi koi

Hota hai jahan zikr Muhammad ke karam ka
Us bajm mein mehrume tamanna nahi koi

Sarkaar ki rahmat ne magar khoob nawaza
Yeh sach hai ki Khalid sa nikamma nahi koi