मेरे आक़ा की गुलामी जिसे मिल जाती है
बादशाहत भी उसे देख के शर्माती है
फूल महकते हैं नबी से तो ताज्जुब कैसा
उनकी खुशबू तो मेरी रूह को महकाती है
हो गया चाँद उधर और उधर ही सूरज
मेरे सरकार की उंगली जिधर हो जाती है
सुलहे-कुल्ली पे वहाबी पे क़यामत टूटे
अज़हरी की मेरे तशरीफ जिधर जाती है
टूट जाना है उसे टूट के गिर जाना है
कर्बला वालों से तलवार जो टकराती है
हो गई नाते नबी बन गई मिदहत उनकी
जब रज़ा को मेरे सरकार की याद आती है
काश देहलीज़े रिसालत पे मुझे मौत आए
ये गज़ाली दिले आशिक़ से सदा आती है
Mere aaqa ki gulami jise mil jaati hai
Badshahat bhi use dekh ke sharmati hai
Phool mehkate hain Nabi se to tajjub kaisa
Unki khushboo to meri rooh ko mehkati hai
Ho gaya chaand udhar aur udhar hi suraj
Mere sarkar ki ungli jidhar ho jaati hai
Sulhe-kulli pe Wahabi pe qayamat tootay
Azhari ki mere tashreef jidhar jaati hai
Toot jana hai use toot ke gir jana hai
Karbaala walon se talwar jo takraati hai
Ho gayi nate Nabi ban gayi midhat unki
Jab raza ko mere sarkar ki yaad aati hai
Kaash dehleez-e-risalat pe mujhe maut aaye
Ye Ghazali dil-e-ashiq se sada aati hai