WhatsApp logo Join Naat Group

Muqaddar auj par hai aur iraade muskurate hain / मुक़द्दर औज पर है और इरादे मुस्कुराते हैं

मुक़द्दर औज पर है और इरादे मुस्कुराते हैं
दयारे मुस्तफा को जाने वाले मुस्कुराते हैं

जब अपनी धुन में और लहजे में कोयल नात पड़ती है
तो दीगर शाख पर बैठे परिदे मुस्कुराते हैं

दुरूदे पाक में मौला ने वो तासीर रखी है
पढ़ा जाए अगर क़ब्रो पे मुर्दे मुस्कुराते हैं

वहाॅं पर आंख वालों का हुआ क्या हाल रब जाने
जहाॅं की जालियों को छू के अंधे मुस्कुराते हैं

बुलावा आने दो अपना मदीने पाक से लोगों
तुम्हें हम भी बताएंगे की कैसे मुस्कुराते हैं

नईम आका़ की अज़मत पे कभी जब बात होती है
ज़मीनों आसमां के सब नजारे मुस्कुराते हैं

Muqaddar auj par hai aur iraade muskurate hain
Dayare Mustafa ko jaane wale muskurate hain

Jab apni dhun mein aur lahje mein koyil naat padhti hai
Toh digar shaakh par baithe parinde muskurate hain

Durude Paak mein Maula ne woh taseer rakhi hai
Padha jaaye agar qabro pe murde muskurate hain

Wahan par aankhon waalon ka hua kya haal Rab jaane
Jahan ki jaaliyon ko chhoo ke andhe muskurate hain

Bulaawa aane do apna Madeene Paak se logon
Tumhe hum bhi bataenge ki kaise muskurate hain

Naim Akaa ki azmat pe kabhi jab baat hoti hai
Zameenon aasman ke sab nazare muskurate hain