मेरे मा’बूद को प्यारे मेरे सरकार के गेसू
उ़रूजे-हु़स्न से आगे मेरे सरकार के गेसू
ना घुंगराले, ना बिल्कुल सीधे, वो: गेसू ख़मीदा हैं
घने और रंग में काले मेरे सरकार के गेसू
घूमाती उम्मे-सल्मा पानी में मू-ए-मुबारक को
मरीजो़ं को शि़फा़ देते मेरे सरकार के गेसू
मिना में बाल कटवा कर, दिया जब हुक्म आक़ा ने
अबू-त़लहा ने फिर बांटे मेरे सरकार के गेसू
फ़क़त इस वास्ते से खा़लिद ने हर एक जंग को जीता
उन्होंने टोपी में रखे मेरे सरकार के गेसू
अनस ने ये वसीयत की ज़बाॅं के नीचे रख देना
मुझे दफ्नाने से पहले मेरे सरकार के गेसू
निकल आती बिना गंगी किए एक मांग जुल्फों में
कुछ ऐसे बीच से हटते मेरे सरकार के गेसू
मलाइक, ह़ूरें, और गि़ल्मान तकते होंगे हसरत से
संवारे जब ह़लीमा ने मेरे सरकार के गेसू
मेरे आक़ा ने सजदो में ज़मीं को भी नवाजा़ था
ज़मीं ने बार-हा चूमे मेरे सरकार के गेसू
कहीं जो सत्तरा बालों पर सफेदी रीश, और सर में
सहा़बा शौक़ से गिनते मेरे सरकार के गेसू
उ़मर से आ़लमे-बरज़ख़ में मिलने पर ये पूछूंगा
कफ़न में किस लिए रखे मेरे सरकार के गेसू
Mere ma abood ko pyare mere sarkaar ke gesu
Urūje-husn se aage mere sarkaar ke gesu,
Na gungraale, na bilkul seedhe, woh: gesu khumida hain
Ghani, aur rang mein kaale mere sarkaar ke gesu
Ghoomati umme-salma paani mein moo-e-mubaarak ko
Mareezoñ ko shifa dete mere sarkaar ke gesu
Mina mein baal kutwa kar, diya jab hukm aaqa ne
Abu-Talha ne phir baante mere sarkaar ke gesu
Faqat is waaste se Khalid ne har ek jang ko jeeta
Unhone topi mein rakhe mere sarkaar ke gesu
Anas ne yeh wasiyat ki zaban ke neeche rakh dena
Mujhe dafnaane se pehle mere sarkaar ke gesu
Nikal aati bina gungi kiye ek maang julfon mein
Kuch aise beech se hatte mere sarkaar ke gesu
Malaik, hoorein, aur gilmaan takte honge hasrat se
Sanware jab Haleema ne mere sarkaar ke gesu
Mere aaqa ne sajdo mein zameen ko bhi nawaza tha
Zameen ne baar-haa choome mere sarkaar ke gesu
Kahin jo sattara baalon par safedi reesh, aur sar mein
Sahaba shauq se ginte mere sarkaar ke gesu
Umar se aalame-barzakh mein milne par yeh poochunga
Kafan mein kis liye rakhe mere sarkaar ke gesu