बड़े लतीफ है नाजुक से घर में रहते हैं
मेरे हुजूर मेरी चश्म ए तर मे रहते हैं
हमारे दिल में हमारे जिगर में रहते हैं
उन्हीं के घर है वो अपने ही घर में रहते हैं
ये वाकि आ है लिबास ए बशर भी धोका है
ये मोजिजा़ है लिबास ए बशर में रहते हैं
मकान उनका न फर्श ए जमी न अर्श ए बरी
वो अपने चाहने वाले के घर में रहते हैं
मलाइका भी हकीदत से देखते हैं उन्हें
जो खुशी नसीब नबी के नगर में रहते है
यकीन वाले कहां से चले कहां पहुंचे
जो अहल ए शक है अगर मे मगर में रहते हैं
खुद के नूर को अपनी तरह समझते हैं
ये कौन लाग है किस के असर में रहते है
रहे वो अपनों से गाफिल अरे म आजल्लाह
खुशा नसीब हम उनकी नजर में रहते हैं
वो और ही था जो कौसैन पर नजर आया
मलक तो अपनी हद ए बाल ओ पर में रहते हैं
जो अख्तर उन के तसव्वूर मे सुब्ह ओ शाम करें
कही भी रहते हो तयबा नगर मे रहते है
Bade lateef hain naazuk se ghar mein rehte hain
Mere huzoor meri chashm-e-tar mein rehte hain
Hamare dil mein hamare jigar mein rehte hain
Unhi ke ghar hai woh apne hi ghar mein rehte hain
Yeh waqi aa hai libaas-e-bashar bhi dhoka hai
Yeh mojiza hai libaas-e-bashar mein rehte hain
Makaan unka na farsh-e-zameen na arsh-e-bari
Woh apne chaahne waale ke ghar mein rehte hain
Malaika bhi haqeeqat se dekhte hain unhein
Jo khushi naseeb Nabi ke nagar mein rehte hain
Yaqeen waale kahaan se chale kahaan pahunche
Jo ahl-e-shak hain agar mein magar mein rehte hain
Khud ke noor ko apni tarah samajhte hain
Yeh kaun log hain kis ke asar mein rehte hain
Rahe woh apno se ghafil arey Ma’azallah
Khush naseeb hum unki nazar mein rehte hain
Woh aur hi tha jo kawsain par nazar aaya
Malak toh apni had-e-baol-o par mein rehte hain
Jo Akhtar un ke tasavvur mein subah-o-shaam karein
Kahī bhi rehte ho Taiba nagar mein rehte hain.