WhatsApp logo Join Naat Group

बरसेगा करम देखना तुम अर्श बरी से / Barsega karam dekhna tum arsh bari se

बरसेगा करम देखना तुम अर्श बरी से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

मैं मौला अली फातिमा जहरा का पिसर हु
हर दुश्मने दी के लिए एक शेर बबर हु
इस बात का ऐलान करूंगा
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

नाना है मेरे नबियों के सरदार समझ ले
और खुल्द के है मालिकों  मुख्तार समझ ले
कह दे कोई जाके ये शिमरे लई से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

में वो हु जिसे चूमते रहते है शहे दी
इतना ही नहीं सूंघते रहते है शहे दी
जोड़ा मेरा मंगवा गया खुलदे बरी से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

कुछ गम नहीं कट जाएगा मैदान मेरा सर
पर आंच नही आएगी इस्लाम के ऊपर
कहता हु में इस बात को इमानो यकीं से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

शब्बीर तुम्हे दिन की अजमत है बचाना
सर अपना तुम्हे राहे खुदा में है कटाना
पैगाम मिला है यही जिब्रीले अमी से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

में तैयबा से मक्के की तरफ चलने लगा हु
कर्बल के लिए रखते सफर बांध सका हु
रस्ता मेरा रोके नहीं कोई आके कही से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

जिस खाक में मिल जाएगा अब्बास का लाशा
उस पर ही अदा होगा मेरा आखरी सजदा
उस खाक को चमकाऊंगा में अपनी जमी से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

में खुल के नहीं माके दुश्मन से लडूंगा
जो नाना से वादा किया वो पूरा करूंगा
बतला दे कोई शाम के उस तख्ते नशी से
आया है बुलावा मुझे करबल की ज़मी से

ना’त-ख़्वां
जाकिर इस्माइली

Barsega karam dekhna tum arsh bari se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Main Maula Ali Fatima Zahra ka pisar hoon
Har dushmane deen ke liye ek sher babar hoon
Is baat ka elaan karoonga
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Naana hai mere nabiiyon ke sardar samajh le
Aur Khuld ke hain maalikon mukhtaar samajh le
Keh de koi jaake ye Shimr e laeen se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Main woh hoon jise choomte rehte hain shahe deen
Itna hi nahi soonghte rehte hain shahe deen
Joda mera mangwa gaya Khuld-e-bari se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Kuch gham nahi kat jaayega maidan mein mera sar
Par aanch nahi aayegi Islam ke upar
Kehta hoon main is baat ko imaan o yaqeen se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Shabbir tumhe deen ki azmat hai bachani
Sar apna tumhe raah e Khuda mein hai katani
Paighaam mila hai yahi Jibreel e Ameen se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Main Tayyiba se Makke ki taraf chalne laga hoon
Karbal ke liye rakhte safar baandh chuka hoon
Rasta mera roke nahi koi aake kahin se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Jis khaak mein mil jaayega Abbas ka laasha
Us par hi ada hoga mera aakhri sajda
Us khaak ko chamkaaoonga main apni zameen se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Main khul ke ab maqable dushman se ladoonga
Jo Naana se wada kiya woh poora karoonga
Batla de koi Shaam ke us takht e nasheen se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Na’at-Khwaan: Zakir Ismaili